Home / Fiqah / Qurbani / Qurbani Ke Mutalliq Galat Fehmiya’n Aur Unki Islah

Qurbani Ke Mutalliq Galat Fehmiya’n Aur Unki Islah

Qurbani Ke Mutalliq Awam Ki Galat Fehmiya’n Aur Unki Islah

✍️ Muhammad Daood Ali Misbahi, Gaya
Ustaz, Darul Uloom Gaus e Aazam Maskediya Hazari Bag

 

QurAan e Karim Aur Ahadis e Taiyyiba Me Qurbani Ki Badi Takeed Aur Fazilate’n Aayi Hain,

 

Allah Irshad Farmata Hai

فصل لِرَبّكَ وَانحَر (الكوثر:٢)

Yani, Apne Rab Ke Liye Namaz Padho Aur Qurbani Karo.

 

Nabi e Kareemﷺ Ka Farman Hai

من کان له سعۃ ولم یضح فلا یقربن مصلانا (سنن ابن ماجہ)

Yani, Jis Me WusAt Ho Aur Qurbani Na Kare Wo Humari Eidgah Ke Qarib Na Aaye.

 

Qurbani Ke TaAlluq Se Awam Ke Zehno’n Me Kuchh Galat Fehmiya’n Basi Hui Hain, Darj e Zail Sutoor (Niche Ki Lines) Me Unki Islah Ki Koshish Ki Gayi Hai,

 

Kya Aqiqe Ka Gosht Dada Dadi Nahi Kha Sakte?

 

(1) GalatFehmi:

Miya Biwi Me Se Kisi Ek Ya Ghar Ke Tamam Afrad (Sabhi Logo) Me Se Sirf Ek Ki Taraf Se Qurbani Karna Kafi Hai

Islah:

Ek Ghar Me Miya Biwi, Bhai Bahen Aur Ma Baap Jitne Afrad (Log) Malik e Nisab Ho’n Un Sab Par Qurbani Wajib Hai.

Kyun Ke ” Qurbani Har Aaqil, Balig, Muqeem Musalman Mard o Aurat Malik e Nisab Par Wajib Hai

📚 Fatawa Hindiya

 

≥ Zabah Karte Waqt Janwar Ki Puri Gardan Kat Gayi To Kya Hukm Hai?

 

(2) GalatFehmi:

Jiska Aqiqa Nahi Hua Wo Aqiqa Kiye Bagair Qurbani Nahi Kar Sakta

Islah:

Ye Khayal Baitl Hai, Agar Wo Malik e Nisab Ho Aur Dusri Sharte’n Bhi Maujud Ho To Us Par Qurbani Wajib Hogi, Aur Aqiqa Kiye Bagair Usko Qurbani Jaiz o Durust Hogi

 

> Aurato’n Ko Janwar Zibah Karna Kaisa Hai?

 

(3) GalatFehmi:

Apni Taraf Se Qurbani Na Kar Ke Kisi Rishtedar Ki Taraf Se Qurbani Karna

Islah:

Jis Par Qurbani Wajib Hai Usko Khud Apne Naam Se Qurbani Karni Chahiye Dusre Ke Naam Se Karega To Wajib Saqit (Ada) Na Hoga, Agar Kisi Rishtedar Ke Liye Karna Chahe To Uske Liye Alag Se Intezam Kare Phir Bhi Dusre Ki Taraf Se Jo Qurbani Ki Ho Gayi Aur Ayyam e Qurbani (Qurbani Ke Din) Baqi Ho To Ye Khud Qurbani Kare, Guzarne Par Qurbani Ki Qimat Sadqa Kare

📚 Fatawa Amjadiya, Jild 3

 

> Namaz e Eid Ka Mukammal Tariqa Aur Zaruri Masail

 

(4) GalatFehmi:

Qurbani Ki Jagah Haajat Mando’n Ko Uski Raqm Sadq Kar Dena Chahiye

Islah:

Qurbani Ke Dino Me Sahib e Nisab Agar Ek Janwar Ke Bajaye Kayi Janwaro’n Ki Qimat Balke Khud Qurbani Ka Janwar Hi Kyun Na Sadqa Kar De Phir BariuzZimma Na Hoga Jab Tak Ke Janwar Qurban Na Kare

📚 Fatawa Hindiya

 

Haa’n Sadqa Karne Ka Ajr Milega, Lekin Wajib Ko Tark Karne Ka Gunah Bhi Hoga.

Lehaza Agar Koi Sadqa Karna Chahe To Apne Naam Se Qurbani Kare Aur Aag Se Garibo’n Ki Madad Kare

 

> Eid-ul-Adha Ke Fazail Aur Sunnate’n

 

(5) GalatFehmi:

Kuchh Log Ye Samajhte Hain Ke Har Qism Ki Zamin Par Qurbani Wajib Hai Jab Ke Uski Qimat Nisab Ko Pahuch Jaye, Ya Ye Samajhte Hain Ke Kisi Qism Ki Zamin Qurbani Nahi

Islah:

Iske Mutalliq Mufti Nizamuddin (Jamia Ashrafiya, MubarakPur) Farmate Hain,

Fatawa Razviya Me Dono Tarah Ke Fatawa Hain Zamin Ki Qimat Ka Etbar Hoga Ya Aamdani Ka Jis Ki Nazar Se Jo Fatwa Guzra Us Ne Uske Mutabiq Hukm Diya Kisi Ne Zamin Ki Qimat Ka Etbar Kiya Aur Kisi Ne Aamdani Ka AlBatta Tatbeeq Ye Hai Ke Zamin Kayi Tarah Ki Hoti Hai,

1- Plat (Plot) Ki Zamin Hoti Hai Yani Usko Kabhi Bechne Ka Irada Hai Aur Zariya e MaAsh (Kamayi Ka Zariya) Uske Alawa Hai To Agar Is Plot Ki Qimat Nisab Ko Pahuche To Us Par Qurbani Wajib Hai.

 

2- Ek Kasht Ki Zamin Hoti Hai Ke Us Me Kheti Karta Ho Aur Yahi Zariya e MaAsh (Kamayi Ka Zariya) Ho To Uski Do Surate’n Hain;

 

Agar Uski Paidawar Iski Saal Bhar Ki Zarurat Ko Pura Karti Hai To Us Par Bhi Qurbani Wajib Hai.

 

Aur Agar Uski Paidawar Iski Saal Bhar Ki Zarurat Ko Pura Na Kar Sake To Us Par Qurbani Wajib Nahi

 

> Kya Qurbani Ke Bakre Ka Daant Wala Hona Zaruri Hai?

 

(6) GalatFehmi:

Kabhin (Gabhan) Janwar Ki Qurbani Jaiz Nahi Hai

Islah:

Gabhin (Gabhan) Janwar Ki Qurbani Jaiz Hai, Magar Gabhin Hona Maloom Ho Jaye To Us Se Bachna Behtar Hai

📚 Fatawa Amjadiya, Jild 3

 

> Gosht Ke 22 Ajza (Hisse) Ka Tafseeli Bayan Jo Nahi Khaye Jate

 

(7) GalatFehmi:

Gair Khassi (Jo Janwar Khassi Na Kiya Gaya Ho) Ki Qurbani Afzal Hai

Islah:

Balke Khassi Ki Qurbani Afzal Hai, Is Liye Ke Us Ka Gosht Zyada Laziz Aur Pakiza Hota Hai

📚 Fatawa Hindiya

 

Aur Nabi e Kareem Se Khassi Kiye Hue Mendho Ka Zabah Karna Sabit Hai

📚 Sunan e Ibn e Maja

 

> Qurbani Ka Mukammal Tariqa. Dua. Aur Qurbani Me Kitni Rage’n Katni Chahiye?

 

(8) GalatFehmi:

Chhe (6) Mahine Ki Bakri Ya Bakra Dekhne Me Saal Bhar Ka Maloom Ho To Uski Qurbani Jaiz Hai

Islah:

Bakri Aur Bakre Ki Umr Ek Saal Se Kam Ho To Uski Qurbani Jaiz Nahi Hai,

Haa’n Chhe (6) Mahine Ka Dumba Itna Bada Ho Ke Door Se Dekhne Me Saal Bhar Ka Lage To Uski Qurbani Jaiz Hai

📚 Durr e Mukhtar, Jild 9

 

Yaad Rakhe’n Mutlaqan 6 Mahine Ke Dumbe Ki Qurbani Jaiz Nahi Balke Use Itna Mota Taza Hona Zaruri Hai Ke Door Se Dekhne Me Saal Bhar Ka Lage

 

> Aebdar Janwaro Ki Tafsil Jinki Qurbani Nahi Hoti

 

(9) GalatFehmi:

Jis Chhuri Me Lakdi Ka Dasta Na Ho Us Se Janwar Halaal Na Hoga

Islah:

Chhuri Tez Honi Chahiye, Lakdi Ke Daste Wali Chhuri Ke Bajaye Kisi Aur Chhuri Se Zabah Kiya Tab Bhi Halal Ho Jayega,

 

Hadis Sharif Me Hai

ما انھر الدم، وذکر اسم الله علیہ، فکل “

Yahi, Allah Ka Naam Le Kar Jis Janwar (Ki Kam Se Kam 3 Rag Kaat Kar) Ka Khoon Baha Diya Jaye, Use Khao

📚 Bukhari Sharif

 

> Qurbani Ke Zaruri Masail

 

(10) GalatFehmi:

Aam Taur Par Dekha Jata Hai Ke Janwar Zabah Karne Wala Abhi Sirf Janwar Ke Gale Par Chhuri Chalata Hai Ke Qasab (Qasayi) Ya Koi Dusra Shakhs 3 Rag Katne Se Pehle Us Se Chhuri Le Kar Zabah Karne Lagta Hai,

Ya Kabhi 2 Aadmi Mil Kar BaYak Waqt (Ek Sath) Zabah Karte Hain To Ek Is Khayal Se Bismillah Chhod Deta Hai Ke Jab Ek Ne Padh Liya To Mujhe Padhne Ki Kya Zarurat ?

Islah:

Dono Surato’n Me Dono Zabah Karne Walo Par Bismillah Padhna Wajib Hai Agar Ek Ne Bhi JanBujh Kar Bismillah Tark (Chhod) Kar Diya To Janwar Halal Na Hoga Kyun Ke DarHaqiqat Dono Hi Zabeh (Zabah Karne Wale) Hain To Dono Par Bismillah Padhna Zaruri Hai

📚 Durr e Mukhtar, Jild 9

 

Haa’n Janwar Ke Hath Pair Pakadne Walo Par Bismillah Padhna Zaruri Nahi, Kyun Ke FeAl e Zabah (Zabah Karne) Me Unka Kuchh Dakhal Nahi

 

> QurBani Wajib Hone Ke Liye Kitna Maal Hona Chahiye?

 

(11) GalatFehmi:

Baaz Jagaho’n Par Aysa Bhi Dekhne Me Aaya Hai Ke Qasab (Qasayi) Ko Ujrat Me Qurbani Ka Gosht Ya Janwar Ki Khal De Dete Hain

Islah:

Bahar e ShariAt Me Hain, Qurbani Ka Chamda Ya Gosht Ya Usme Ki Koi Chiz Qasab Ya Zabah Karne Wale Ko Ujrat Me Nahi De Sakta Ke Usko Ujrat Me Dena Bhi Bechne Ke Mana Me Hai,

Qasab Ko Ujrat Me Nahi Diya Balke Jaise Dusre Musalmano’n Ko Deta Hai Usko Bhi Diya Aur Ujrat Apne Paas Se Dusri Dega To Jaiz Hai

📚 Bahar e ShariAt, Jild 3

 

≥ Jo Qurbani Nahi Kar Sakte Unke Liye Qurbani Ka Sawab (Aur Hajamat Ki Manahi)

 

(12) GalatFehmi:

Baaz Log Aantadi Pichauni (Aante’n Wagairah) Bade Chao Se Khate Hain Aur Use Makrooh Nahi Samajhte

Islah:

Ojhadi Khana Makrooh Hai Kyun Ke Usme Janwar Ki Galazat Jama Rehti, Usko Phenk Diya Jaye Balke Dafn Kar Diya Jaye Take Uski BadBu Aur Galazat Na Phaile, Agar Koi Gair Muslim Le Jaye To Isme Koi Harj Nahi

 

> Kya Qarz Lekar Bhi Qurbani Karni Hogi?

 

(13) GalatFehmi:

Zabah Ke Baad Janwar Ke Khoon Me Hath Daal Kar Darwaze Aur Deewar Par Panje Ka Nishan Banate Hain Aur Kuchh Jagaho’n Par Zabah Karne Wali Chhuri Ko Bachche Ke Jism Se Mas (Touch) Karte Hain

Islah:

Aysa Hargiz Na Kiya Jaye Kyun Ke Khoon NaPaak Hai Aur Jis Jagah Khoon Lagega Wo Jagah Bhi NaPaak Ho Jayegi Aur Bachche Ko Us Chhuri Se Mas Karna Batil Aur BeBuniyad Khayal Hai

 

> Kya Namaz e Juma Ki Qaza Hai?

 

(14) GalatFehmi:

Baaz Log Janwar Ko Jald Thanda Karne Ke Liye Zabah Ke Fauran Baad Gardan Ko Khal Udhed Kar Chhuri Ghonp Kar Dil Ki Rag Kaat Dete Hain Ya Zabah Ke Baad Fauran Gardan Chatkha Dete Hain

Islah:

Janwar Ke Sath Ye Nihayat Zalimana Sulook Hai, Jab Tak Janwar Ki Rooh Na Nikal Jaye Uski Khal Utari Jaye Na Uske Hath Pao’n Kate Jaye’n Na Us Se Chhuri Mas Ki Jaye

📚 Bahar e ShariAt, Jid 3

 

> Naqd Aur Udhar Mobile Ki Alag Alag Qimat Rakhna Kaisa Hai?

 

(15) GalatFehmi:

Shirkat Me Bade Janwar Ki Qurbani Karte Hain To Gosht Ki Taqseem Wazan Se Na Kar Ke Andaze Se Bant Lete Hain Aur Ek Dusre Se Kami Beshi Muaf Kara Lete Hain

Islah:

Bahar e ShariAt Me Shami Ke Hawale Se Hai, Shirkat Me Gae (Cow) Ki Qurbani Hui To Zarur Hai Ke Gosht Wazan Kar Ke Taqseem Kiya Jaye Andaze Se Taqseem Na Ho Kyun Ke Ho Sakta Hai Ke Kisi Ko Zyada Ya Kam Mile Aur Ye NaJaiz Hai Yaha’n Ye Khayal Na Kiya Jaye Ke Kam o Besh Hoga To Har Ek Usko Dusre Ke Liye Jaiz Kar Dega Keh Dega Ke Agar Kisi Ko Zyada Pahuch Gaya Hai To Muaf Kiya Ke Yaha’n Adm e Jawaz Haqq e Shara Hai Aur Un Ko Iske Muaf Karne Ka Haq Nahi,

( Masdar e Sabiq)

 

Haa’n Agar Sab Ek Hi Ghar Ke Afrad (Log) Hain, Sab Ek Sath Rehte Hain Ke Mil Kar Hi Batenge Aur Khayenge Ya Shuraka Apna Apna Hissa Lena Hi Nahi Chahte To Aysi Surat Me Wazan Karne Ki Hajat Nahi Hai

 

> Aadhi Aastin Ke Kapde Pahen Kar Namaz Padhna Kaisa Hai?

Leave a Reply