QURBAANI KE ZARURI MASAIL
Rehne Ke Makaan Ke Alawa Khaali Pade Hue Ya Kiraye Par Diye Hue Makaan/Dukaan Ya Saadi (Khali) Zameen Sabki Qimat Qurbani Aur Fitra Ke Nisab Me’n Shamil Hai Balke Rehne Ka Makaan Itna Bada Ho Ke Uska Ek Hissa Uske Sardi Garmi Me Rehne Ko Kaafi Ho Aur Dusrasra Hissa Haajat Se Zyada Ho To Uski Qeemat Bhi Qurbaani Aur Fitra Ke Nisaab Me’n Shamil Hai.
YeAkele Ya Dusri Milkiyat Ko Milakar Nisaab Ko Pahuche To Qurbaani Wajib Hai.
Fataawa Razwiya Jild 20 Safa 361
Jispar Qurbaani Wajib Hai Uske Liye Haraam Hai Ke Qurbaani Na Kare Aur Uski Qeemat Kisi Fund Me’n De De, Is Se Hargiz Qurbaani Ada Na Hogi,
Wajib Chhodne Ka Gunahgar Hoga Aur Azab Ka Haqdar.
Aur Ayse Chando Me’n Dene Se Ke Log Apne Taur Par Karte Hain Aur Sabke Chande Zakaat Aur Gair-e-Zakat Ke, Balke Wahabi, Raafzi Waghaira Bad’Mazhabo Ke Sab Mila Kar Lete Hain, Na Zakat Ada Hogi Na Qurbani.
Fataawa Razwiya Jild 10 Safa 291
*Na’Baaligh Kitna Hi Maldaar Ho Na Uspar Qurbaani Wajib Hai Na Uski Taraf Se Kisi Aur Par.
*Ek Qurbaani Na Sabki Taraf Se Ho Sakti Hai, Na Sahib-e-Nisaab Ke Siwa Kisi Aur Par Wajib Hai, Agar Kisi Ki Baligh Aulaad Me’n Se Koi Khud Sahib-e-Nisaab Ho To Wo Apni Qurbaani Alag Se Kare.
*Koi Kitna Hi Maldaar Ho Ya Har Mahine Kitni Hi Aamdani (Income) Ho Agar Qurbani Ke Din Sahib e Nisaab Nahi Hai To Uspar Qurbaani Wajib Nahi.
Jispar Qurbani Wajib Hai Agar Uske Paas Naqad (Cash) Na Ho Tab Bhi Qurbaani Zaruri Hai, Qarz Lekar Kare Ya Apna Koi Samaan Bech Kar.
Fataawa Razwiya Jild 20 Safa 369
*Doodh Wale Ya Hamal (Jiske Pet Me Bachcha Ho) Wale Jaanwar Ki Qurbaani Agarche Sahi Hai Magar Na Pasand Hai. Hadees Me’n Is Se Mana Farmaya,
Sahib-e-Nisaab Agar Qurbaani Ki Niyat Se Koi Jaanwar Kharid Le To Khaas Usi Jaanwar Ki Qurbaani Zaruri Nahi,
Dudh Deta Ya Hamal Wala Dekh Kar Agar Jaanwar Badal De To Koi Haraj Nahi,
Aur Ayse Jaanwar Ka Palna, Bechna, Doodh Peena Sab Jayaz Hai. Laikin Agar Usi Doodh Wale jaanwar Ki Qurbaani Karna Ho To Uske Doodh Ya Uon Waghaira Se Fayda Uthana Makrooh Hai.
Fataawa Razwiya Jild 20 Safa 370
QURBAANI KE JANWAR KI UMR
Qurbaani Ke Liye Uont Kam Se Kam 5 Saal Ka,
Gaae Aur Bhains 2 Saal Ki,
Bakra Aur Dumba Ek Saal Ka Hona Chahiye, Bakra Bakri Ek Saal Se Kam Ka Qurbaani Me’n Hargiz Jayaz Nahi,
Dumba Agar 6 Mahine Ka Ho Magar Itna Sehat Mand Ho Ke Saal Bhar Walo Me’n Door Se Dekhne Par Alag Maloom Na Ho To Uski Qurbaani Jayaz Hai.
Fataawa Razwiya Jild 20 Safa 442