Home / Fiqah / Qurbani / QurBani Wajib Hone Ke Liye Kitna Maal Hona Chahiye?

QurBani Wajib Hone Ke Liye Kitna Maal Hona Chahiye?

QurBani Wajib Hone Ke Liye Kitna Maal Hona Chahiye?

Har Baalig. Muqim. Musalman Mard o Aurat Malik e Nisab Par QurBani Wajib Hai.
>Aalamgiri Jild 5 Safa 292,

Malik e Nisab Hone Se Murad Ye Hai Ke Us Shakhs Ke Paas *Sadhe 52* Tola Chandi
Ya Uski Qimat Ke Rupaye.
Uski Qimat Ka Maal e Tijarat Ka Maal.
Ya Itni Qimat Ka Haajat e Asliya Ke Alawa Saman Ho.
Aur Us Par Itna Qarz Na Ho Ke Jiske Ada Karne Ke Baad Abhi Zikr Kiya Hua Nisab Baqi Na Rahe,

 

Fuqaha e Kiram RahimaHumullahuSsalam Farmate Hain,

Haajat e Asliya (Yani Zaruriyat e Zindgi) Se Murad Wo Chize’n Hain
Jinki Aam Taur Par Insan Ko Zarurat Hoti Hai Aur Unke Bagair Zindgi Guzarne Me Bahut Tangi Aur Dushwari Mehsus Hoti Hai
Jaise Rehne Ka Ghar.
Pahenne Ke Kapde.
Sawari (Gadi Wagairah)
Deeni Kitabe’n.
Aur Peshe (Kaam) Ke Auzar Wagairah.
>Hidaya Jild 1 Safa 96,

Agar Haajat e Asliya Ki Tarif Pesh e Nazar Rakhi Jaye To BaKhubi Malum Hoga Ke.
Humare Gharo Me BeShumar Chize’n Aysi Hain Ke Jo Haajat e Asliya Me Dakhil Nahi
Is Liye Agar Unki Qimat *Sadhe 52 Tola Chandi* Ke BaraBar Pahuch Gayi To QurBani Wajib Hogi,

Mujaddid e Deen o Millat
Aala Hazrat Imam Ahmad Raza RehmatullahAlaih Se Sawal Kiya Gaya Ke.

Agar Kisi Ke Paas Makan e Sukunat (Rehne Ka Makan) Ke Alawa Ek Aur Makan (Zyada) Ho To Us Par QurBani Wajib Hogi Ya Nahi?

Jawab Irshad Farmaya.

Wajib Hai. Jab Ke Wo Makan Tanha Ya Uske Aur Maal Se Haajat e Asliya Se Zyada Ho. Milkar Itni Qimat Ho Ke Jo Sadhe 52 Tola Chadi Barabar Ho.
Chahe Un Makano Ko Kiraye Par Chalata Ho Ya Khali Pade Ho’n Ya Sadi Zamin (Khali Zamin) Ho Balke Agar Makan e Sukunat (Rehne Ka Makan) Itna Bada Hai Ke Uska Ek Hissa Us Shakhs Ke Jade (Sardi) Garmi Dono Me Rehne Ke Liye Kafi Ho Aur Dusra Hissa Haajat (Zarurat) Se Zyada Aur Us (Dusre Hisse) Ki Qimat Tanha Ya Usi Qism Ke (Haajat e Asliya) Se Zyada Maal Se Milkar Nisab Tak Pahuche Jab Bhi QurBani Wajib Hai,
>Fatawa Razviya Jild 20 Safa 361,

Yani Jiske Paas *Sadhe 52 Tola* Chandi Ya (Haajat e Asliya Ke Alawa) Itni Hi Qimat Ya Itni Qimat Ki Koi Chhiz. Zamin Jaydad Wagairah Ho To QurBani Wajib Hogi,

Leave a Reply