Home / Fiqah / Roza / Ramazan Ke Roze Aur Gyarah (11) Galat Fehmiya’n

Ramazan Ke Roze Aur Gyarah (11) Galat Fehmiya’n

 

Ramazan Ke Roze Aur Gyarah (11) Galat Fehmiya’n

 

Galat Fehmi 1 Ulti (nausea) Aane Se Roza Toot Jata Hai.

 

Durust MasAla: AzKhud (Khud Se) Kitni Hi Ulti Ya Qae (nausea) Aaye Roza Nahi TootTa AlBatta Khud Qasdan (Jaan Boojh Kar) Maslan Ungli Wagairah Muh Me Daal Kar Ulti/Qae (nausea) Ki Aur Wo Muh Bhar Ho To Roza Toot Gaya.

» Asr Ka Roza Kya Hai Aur Isko Rakhna Kaisa Hai?

Galat Fehmi 2 Halat e Roza Me Ehtelam (Nightfall) Ho Jaye To Roza Toot Jata Hai.

 

Durust MasAla: Halat e Roza Me Ehtelam (Nightfall) Se Roza Nahi TootTa.

 

Galat Fehmi 3 Kuchh Log Samajhte Hain Ke Thook Ya Balgam (Mucus) Nigal Jane Se Roza Toot Jayega Ya Makrooh Hoga Isi Bina Par Wo Baar Baar Thookte Rehte Hain.

 

Durust MasAla: Thook Aur Balgam (Mucus) Jab Tak Muh Me Hai Unko Nigalne Se Roza Nahi Tootega Haa’n Muh Se Bahar Maslan Hatheli Par Thook Kar Phir Muh Me Dobara Dala To Roza Toot Jayega Aur Aysa Aam Taur Par Koi Nahi Karta.

» Ramzan Ki Fazilat Qur’Aan o Hadis Ki Raushni Me

Galat Fehmi 4 Kuchh Log Roze Me Tel (Oil) Khushboo (fragrance) Lagane Aur Mue Zere Naaf (Naaf Ke Niche Ke Baal) Saaf Karne Ko Durust Nahi Samajh Rahe Hote.

 

Durust MasAla: Ye Kaam Roze Ki Halat Me Jaiz Hain. Surma Lagane Se Bhi Roza Nahi Tootega, AlBatta Kajal Ka Hukm Surme Wala Nahi Kajal Se Parhez Kiya Jaye..

Note☛ Humare Nazdiq Kajal Ka Hukm Bhi Surme Ki Misl Hai Yani Kajal Lagane Se Bhi Roze Par Koi Farq Na Aayega. Jaisa Ke Bahar e ShariAt Hissa 5 Aur Fatawa Aalamgiri KitabusSaum Jild 2 Se Zahir Hai (Admin)

» Ramzan Ki Mukammal Maloomat (Fazail o Masail)

Galat Fehmi 5 Ramazan Me Sehri Me Aankh Na Khule Aur Sehri Khana Chhoot Jaye To Roza Nahi Hota.

 

Durust MasAla: Sehri Roze Ke Liye Shart Nahi. Raat Me Niyat Karli Jaue Ya Phir Zawal Ka Waqt Shuru Hone Se Pehle Pehle Niyat Karli Tab Bhi Thik Hai Lekin Sehri Ka Waqt Khatm Hone Ke Baad Niyat Ki Jaye To 3 Chize’n Khas Madde Bazar Rakhi Jaye, Awwal Ye Ke Roza Band Hone Ke Baad Se Niyat Karne Tak Qasdan (Jaan Boojh Kar) Koi Munafi e Roza Kaam Maslan Khana Peena Wagairah Na Kiya Ho, Dusra Ke Ke Ye Niyat Kare Ke Me Roza Band Hone Ke Waqt Se Roze Se Hu’n. Teesra Ye Ke Zawal Ka Waqt Shuru Hone Ke Baad Niyat Nahi Ho Sakti.

» Mushkil Kusha. 16 Saiyyado’n Aur RootBoot Ke Roze Ka Hukm

Galat Fehmi 6 Raat Me Gusl Farz Ho Jaye To Ab Roza Shuru Hone Ke Baad Kulli Ya Naak Me Pani Iftar Ke Waqt Hi Dalenge.

 

Durust MasAla: Roza Shuru Hone Se Pehle Gusl Farz Ho Ya Roza Me Ehtelam (Nightfall) Ho Jaye To Guroob (Suraj Doobne) Ka Intezar Nahi Karenge. Roze Ki Halat Me Nahana Ho Tab Bhi Gusl Ke Tamam Faraiz Ada Kiye Jayenge. Gusl Me Kulli Karna Aur Naak Me Narm Hisse Tak Pani Pahuchana Farz Hai Iske Bagair Na To Gusl Utrega Na Namaze’n Hongi, Yaad Rahe Ke Roza Ho To GarGara Nahi Karenge Aur Aam Dino (Days) Me Bhi GarGara Gusl Ka Farz Ya Kulli Ka Hissa Nahi, Judagana (Alag) Sunnat Hai Wo Bhi Us Waqt Jab Roza Na Ho, AlBatta Roze Ki Halat Me Naak Me Pani Sans (Breath) Ke Zariye Upar Khinchne Ki Ijazat Nahi.

» Kya Razmzanul Mubarak Ki Raato’n Me Biwi Se Humbistari Karna Jaiz Nahi?

Galat Fehmi 7☞ Halat e Roza Me Miswak Nahi Kar Sakte.

 

Durust MasAla: Miswak Ki Ja Sakti Hai AlBatta Ye Ehtiyat Rakhi Jaye Ke Reshe (Particles) Halq (Throat) Me Na Jaye’n.

 

Galat Fehmi 8☞ Jab Tak Azan Hoti Rahe Sehri Me Khana Peena Jari Rakha Ja Sakta Hai.

 

Durust MasAla: Jab Sehri Ka Waqt Khatm Ho Jata Hai To Azan e Fajr Aur Namaz e Fajr Ka Waqt Shuru Hota Hai Lehaza Jo Sehri Band Hone Ke Bawajud Azan Khatm Hone Ka Intezar Karte Hue Khata Peeta Raha Usne Apna Roza Barbad Kiya Uska Roza Hua Hi Nahi.

» Ramzan Sharif Ke 22 Zaruri Aur Naye Masail

Galat Fehmi 9☞ Chot (Injury) Wagairah Lagne Par Khoon (Blood) Nikal Aane Ya Khoon (Blood) Test Karwane Se Roze Par Koi Asar Padta Hai.

 

Durust MasAla: Jis Se Koi Cheez Bahar Aane Par Roza Naji TootTa Lehaza Test Ke Liye Khoon (Blood) Nikalne Ya Zakhmi Hone Par Khoon Behne Se Roza Nahi Tootega. Roza Kisi Cheez Ke Barahe Rast Zariye (Sidhe / Direct) Se Mede (Stomach) Ya Dimag (Brain) Tak Pahuchne Par TootTa Hai AlBatta Chand Surte’n Mustasna (Alag) Hain Jaisa Ke Roza Yaad Hote Hue Jaan Boojh Kar Muh Bhar Qae/Ulti Karna.

» Kya Namaz e Juma Ki Qaza Hai?

Galat Fehmi 10☞ Roze Me Injection (Sui) Lagane Se Roza Toot Jayega.

 

Durust MasAla: Agar Ye Soch Un Ulma Ki Pairawi Ki Wajah Se Hai Jin Ka Mauqif (Position) Yahi Hai To Thik Hai, AlBatta Jo Qawi Aur Mazboot Dalail Hain Unki Ru Se Injection Lagane Se Roza Nahi TootTa, Shadeed Zarurat (Desperate need) Ho To Drip Bhi Lagayi Ja Sakti Hai.

» NaBaligh Ki Imamat Kaisi Hai?

Galat Fehmi 11☞ Roze Me Itr (Attar) Ya Khushboo (fragrance) Sunghne Se Roza Toot Jata Hai.

 

Durust MasAla: Mae Khushboo Yani Liquid (Behti) Halat Me Ya Thos (Solid) Khushboo Sunghne Se Roza Nahi TootTa AlBatta Agar Kisi Ne Agarbatti Ka Dhunwa (Smoke) Maslan Muh Ya Naak Ke Zariye Andar Khincha Jo Ke LaMuhala (Inevitably) Halq (Throat) Me Jayega Aur Yu’n Hi Kisi Bhi Khushbudar Ya Gair Khushbudar Dhunwe (Smoke) Ki Dhuni Is Tarah Li Ke Maslan Is Ke Dhunwe (Smoke) Ko Naak Ya Muh Se Halqe Dakhil Kiya To Roza Toot Jayega..

 

📗 Darul-Ifta AhleSunnat Nurul-Irfan, Kharadar, Karachi

» Jeb Me Zewar (Jewellery) Rakh Kar Namaz Padhna Kaisa Hai ?

Leave a Reply