Fazilat e Ramzan Qur’Aan o Hadis Ki Raushni Me
Allah ﷻ Farmata Hai
يٰۤاَيُّهَا الَّذِيْنَ اٰمَنُوْا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِيْنَ مِنْ قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُوْنَۙ۰۰۱۸۳اَيَّامًا مَّعْدُوْدٰتٍ١ؕ فَمَنْ كَانَ مِنْكُمْ مَّرِيْضًا اَوْ عَلٰى سَفَرٍ فَعِدَّةٌ مِّنْ اَيَّامٍ اُخَرَ١ؕ وَ عَلَى الَّذِيْنَ يُطِيْقُوْنَهٗ فِدْيَةٌ طَعَامُ مِسْكِيْنٍ١ؕ فَمَنْ تَطَوَّعَ خَيْرًا فَهُوَ خَيْرٌ لَّهٗ١ؕ وَ اَنْ تَصُوْمُوْا خَيْرٌ لَّكُمْ اِنْ كُنْتُمْ تَعْلَمُوْنَ۰۰۱۸۴شَهْرُ رَمَضَانَ الَّذِيْۤ اُنْزِلَ فِيْهِ الْقُرْاٰنُ هُدًى لِّلنَّاسِ وَ بَيِّنٰتٍ مِّنَ الْهُدٰى وَ الْفُرْقَانِ١ۚ فَمَنْ شَهِدَ مِنْكُمُ الشَّهْرَ فَلْيَصُمْهُ١ؕ وَ مَنْ كَانَ مَرِيْضًا اَوْ عَلٰى سَفَرٍ فَعِدَّةٌ مِّنْ اَيَّامٍ اُخَرَ١ؕ يُرِيْدُ اللّٰهُ بِكُمُ الْيُسْرَ وَ لَا يُرِيْدُ بِكُمُ الْعُسْرَ١ٞ وَ لِتُكْمِلُوا الْعِدَّةَ وَ لِتُكَبِّرُوا اللّٰهَ عَلٰى مَا هَدٰىكُمْ وَ لَعَلَّكُمْ تَشْكُرُوْنَ۰۰۱۸۵وَ اِذَا سَاَلَكَ عِبَادِيْ عَنِّيْ فَاِنِّيْ قَرِيْبٌ١ؕ اُجِيْبُ دَعْوَةَ الدَّاعِ اِذَا دَعَانِ١ۙ فَلْيَسْتَجِيْبُوْا لِيْ وَ لْيُؤْمِنُوْا بِيْ لَعَلَّهُمْ يَرْشُدُوْنَ۰۰۱۸۶اُحِلَّ لَكُمْ لَيْلَةَ الصِّيَامِ الرَّفَثُ اِلٰى نِسَآىِٕكُمْ١ؕ هُنَّ لِبَاسٌ لَّكُمْ وَ اَنْتُمْ لِبَاسٌ لَّهُنَّ١ؕ عَلِمَ اللّٰهُ اَنَّكُمْ كُنْتُمْ تَخْتَانُوْنَ اَنْفُسَكُمْ فَتَابَ عَلَيْكُمْ وَ عَفَا عَنْكُمْ١ۚ فَالْـٰٔنَ بَاشِرُوْهُنَّ وَ ابْتَغُوْا مَا كَتَبَ اللّٰهُ لَكُمْ١۪ وَ كُلُوْا وَ اشْرَبُوْا حَتّٰى يَتَبَيَّنَ لَكُمُ الْخَيْطُ الْاَبْيَضُ مِنَ الْخَيْطِ الْاَسْوَدِ مِنَ الْفَجْرِ١۪ ثُمَّ اَتِمُّوا الصِّيَامَ اِلَى الَّيْلِ١ۚ وَ لَا تُبَاشِرُوْهُنَّ۠ وَ اَنْتُمْ عٰكِفُوْنَ١ۙ فِي الْمَسٰجِدِ١ؕ تِلْكَ حُدُوْدُ اللّٰهِ فَلَا تَقْرَبُوْهَا١ؕ كَذٰلِكَ يُبَيِّنُ اللّٰهُ اٰيٰتِهٖ لِلنَّاسِ لَعَلَّهُمْ يَتَّقُوْنَ
📖 پ۲، البقرۃ: ۱۸۳ ۔ ۱۸۷
Tarjma
Aye Iman Walo ! Tum Par Roza Farz Kiya Gaya Jaisa Un Par Farz Hua Tha Jo Tum Se Pehle Hue, Take Tum Gunaho’n Se Bacho Chand Dino Ka_
Phir Tum Me Jo Koi Bimar Ho Ya Safar Me Ho, Wo Aur Dino Me Ginti Puri Karle’n Aur Jo Taqat Nahi Rakhte Wo Fidya De’n_
Ek Miskin Ka Khana Phir Jo Zyada Bhalayi Kare To Ye Uske Liye Behtar Hai Aur Roza Rakhna Tumhare Liye Behtar Hai, Agar Tum Jante Ho_
Mahe Ramzan Jisme Qur’Aan Utara Gaya_ Logo Ki Hidayat Ko Aur Hidayat Aur Haq o Batil Me Judayi Bayan Karne Ke Liye To Tum Me Jo Koi Ye Mahina Paye To Uska Roza Rakhe Aur Jo Bimar Ya Safar Me Ho Wo Dusre Dino Me Ginti Puri Karle_
Allah ﷻ Tumhare Sath Aasani Ka Irada Karta Hai, Sakhti Ka Irada Nahi Farmata Aur Tumhe Chaiye Ke Ginti Puri Karo Aur Allah ﷻ Ki Badayi Bolo, Ke Usne Tumhe Hidayat Ki Aur Is Ummid Par Ke Uske ShukrGuzar Ho Jao_
Aur Aye Mehbub Jab Mere Bande Tumse Mere Baare Me Suwal Kare’n To Mai Nazdik Hu’n, Dua Karne Wale Ki Dua Sunta Hu’n Jab Wo Mujhe Pukare To Unhe Chahiye Ke Meri Baat Qabul Kare’n Aur Mujh Par Iman Laye’n, Is Ummid Par Ke Raah Paye’n_
Tumhare Liye Roza Ki Raat Me Aurato’n Se Jima Halal Kiya Gaya, Wo Tumhare Liye Libas Hain Aur Tum Unke Liye Libas_
Allah ﷻ Ko Maloom HI Ke Tum Apni Jaano’n Par Khayanat Karte Ho To Tumhari Tauba Qabul Ki Aur Tum Se Muaf Farmaya To Ab Unse Jima Karo Aur Use Chaho Jo Allah ﷻ Ne Tumhare Liye Likha Aur Khao Aur Piyo Us Waqt Tak Ke Fajr Ka Supaid Dora Siyah Dore Se Mumtaz Ho Jaye Phir Raat Tak Roza Pura Karo Aur Unse Jima Na Karo Is Haal Me Ke Tum Masjido Me Motakif Ho_
Ye Allah ﷻ Hade’n Hain, Unke Qarib Na Jao, Allah ﷻ Apni Nishaniya’n Yu’n Hi Bayan Farmata Hai Ke Kahi’n Wo Bache’n_
📖 Para 2, Surah Baqar 183/187
➡️ Tanbe, Peetal Aur Lohe Wagairah Ke Zewar Pahen Kar Namaz Padhna Kaisa Hai?
>Roza Bahut Umda Ibadat Hai,
Iski Fazilat Me Bahut Hadise’n Aayi’n,
Unme Kuch Zikr Ki Jati Hain
Hadis 1: Sahi Bukhari Wa Muslim Me Hazrat e AbuHuraira Se Riwayat Hai Ke
Huzur Farmate Hain,
Jab Ramzan Aata Hai, Aasman Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain.
📖 Sahi Bukhari, Sahi Muslim
Ek Riwayat Me Hai Ke, Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain
📖 Sahi Bukhari
Ek Riwayat Me Hai Ke, Rehmat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain
Aur Jahannam Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain
Aur Shayatin Zanjiro Me Jakad Diye Jate Hain
📖 Sahi Muslim
Aur Imam Ahmad Wa Tirmizi Wa Ibne Maja Ki Riwayat Me Hai,
Jab Maahe Ramzan Ki Pehli Raat Hoti Hai
To Shayatin Aur Sarkash Jinn Qaid Kar Liye Jate Hain
Aur Jahannam Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain
To Unme Se Koi Darwaza Khola Nahi Jata
Aur Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain
To Unme Se Koi Darwaza Band Nahi Kiya Jata
Aur Munadi Pukarta Hai
Aye Khair Talab Karne Wale! Mutawwajeh Ho
Aur Aye Shar Ke Chahne Wale! Baaz Reh
Aur Kuch Log Jahannam Se Aazad Hote Hain Aur Ye Har Raat Me Hota Hai
📖 Jame Tirmizi
Imam Ahmad Wa Nasai Ki Riwayat Unhi Se Hai,
Ke Huzur Ne Farmaya
Ramzan Aaya, Ye Barkat Ka Mahina Hai,
Allah ﷻ Ne Iske Roze Tum Par Farz Kiye
Isme Aasman Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain
Aur Dozakh Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain
Aur Sarkash Shaitano’n Ke Tauq Daal Diye Jate Hain
Aur Isme Ek Raat Aysi Hai
Jo Hazar Mahino Se Behtar Hai
Jo Is Ki Bhalayi Se Mehrum Raha Wo BeShak Mehrum Hai
📖 Sunan e Nasai
➡️ Anguthi, Chhalle, Taweez Aur Dore Wagairah Ka Sharayi Hukm
Hadis 2: Ibne Maja Hazrat e Anas Se Rawi, Kehte Hain
Ramzan Aaya To Huzur Ne Farmaya
Ye Mahina Aaya, Isme Har Raat Hazar Mahino Se Behar Hai
Jo Is Se Mehrum Raha, Wo Har Chiz Se Mehrum Raha Aur Iski Khair Se Wahi Mehrum Hoga, Jo Pura Mehrum Hai
📖 Sunan e Ibne Maja
Hadis 3: Baihaqi Ibne Abbas Rawi, Kehte Hain
Jab Ramzan Ka Mahina Aata Rasulullah -Saws- Sab Qaidiyo’n Ko Reha Farma Dete Aur Sail Ko Ata Farmate
📖 Shobul Iman
Hadis 4: Baihaqi Shobul’Iamn Me Ibne Umar Se rawi, Ke Nabi e Karim Ne Farmaya
Jannat Ibtida e Saal (Shuru Saal) Se Saal e Ayinda (Agle Saal) Tak Ramzan Ke Liye Aarasta (Sajawat) Ki Jati Hai,
Jab Ramzan Ka Pehla Din Aata Hai To Jannat Ke Patto Se Arsh Ke Niche Ek Hawa Hoor e Aen Par Chalti Hai, Wo Kehti Hain
Aye Rab! Tu Apne Bando’n Se Humare Liye Unko Shauhar Bana,
Jinse Humari Aankhe’n Thandi Ho’n Aur Unki Aankhe’n Humse Thandi Ho’n
📖 Shobul Iman
➡️ Sunnat e Gair-Mo’Akkeda Ko Padhne Ka Sahi Tariqa Kya Hai?
Hadis 5: Imam Ahmad AbuHurairah -Rau-Se Rawi, Ke Huzur-Saws-Farmate Hain
Ramzan Ki Aakhiri Shab Me Is Uammat Ki Bakhshish Hoti Hai
Arz Ki Gayi, Kya Wo Shabe Qadr Hai ?
Farmaya, Nahi Lekin Kaam Karne Walo Us Waqt Mazduri Puri Di Jati Hai Jab Wo Kaam Pura Karle
📖 Musnad Imam Ahmad
Hadis 6: Baihaqi Shobul’Iman Me Salman Farsi Se Rawi
Kehte Hain Ke Rasulullah Ne Shaban Ke Aakhiri Din Me Waaz (Taqrir) Farmaya
Farmaya, Aye Logo!
Azmat Wala, Barkat Wala Mahina Aaya, Wo Mahina Jisme Ek Raat Hazar Mahino Se Behtar Hai
Iske Roze Allah ﷻ Ne Farz Kiye
Aur Uski Raat Me Qayam (Namaz) Tatu’a (Sunnat) Jo Isme Neki Ka Koi Kaa Kare To Aysa Hai
Jaise Aur Kisi Mahine Me Farz Ada Kiya
Aur Jisne Is Mahine Me Farz Ada Kiya
To Aysa Hai Jaise Aur Dino Me 70 Farz Ada Kiye
Ye Mahina Sabr Ka Hai Aur Sabr Ka Sawab Jannat Hai
Aur Ye Mahina Mawaasaat (Gamkhwari Aur Bhalayi) Ka Hai
Aur Is Mahine Me Momin Ka Rizq Badaya Jata Hai
Jo Isme RozaDar Ko Iftar Karaye Uske Gunaho’n Ke Liye Magfirat Hai
Aur Uski Gardan Aag Se Aazad Kardi Jayegi
Aur Us Iftar Karane Wale Ko Waisa Hi Sawab Milega jaisa Roza Rakhne Wale Ko Milega Bagair Iske Ke Uske Ajr (Sawab) Me Kuch Kam Ho
Hume Arz Ki, Ya Rasulallah Hum Me Har Shakhs Wo Chiz Nahi Pata, Jis Se Roza Iftar Karaye ?
Huzur Ne Irshad Farmaya, Allah ﷻ Ye Sawab Us Shakhs Ko Dega Jo Ek Ghunt Doodh Ya Khurma (Khajur) Ya Ek Ghunt Pani Se Roza Iftar Karaye
Aur Jjsne RozaDar Ko Bhar Pet Khana Khilaya, Usko Allah Mere Hauz Se Pilayega Ke Kabhi Pyasa Na Hoga Yaha’n Tak Ke Jannat Me Dakhil Ho Jaye,
Ye Wo Mahina Hai Ke Iska Awwal Rehmat Hai Aur Iska Ausat Magfirat Hai Aur Iska Aakhir Jahannam Se Aazadi Hai
Jo Apne Gulam Par Is Mahine Me Takhfif Kare Yani Kaam Me Kami Kare Allah Use Bakjsh Dega Aur Jahannam Se Aazad Farma Dega
📖 Shobul Iman
➡️ Iqamat (Takbir) Khade Ho Kar Sunna Kaisa Hai?
Hadis 7: Sahihain Wa Tirmizi Wa Nasai Wa Sahi Ibne Khuzaima Me Sahal Bin Sa’ad Se Marwi,
Rasulullah Farmate Hain,
Jannat Me 8 Darwaze Hain Unme Se Ek Darwaze Ka Naam Raiyyan Hai Jis Darwazae Se Wahi Jayenge JonRoze Rakhte Hain
📖 Sahi Bukhari
Hadis 8: Bukhari Wa Muslim Me AbuHurairah Se Marwi,
Huzur e Aqdas Ne Farmaya, Jo Iman Ki Wajah Se Aur Sawab Ke Liye Roza Rakhega
Uske Agle Gunah Bakhsh Diye Jayenge
Aur Jo Iman Ki Wajah Se Sawab Ke Liye Ramzan Ki Raato’n Ka Qayam Karega Uske Agle Gunah Bakhsh Diye Jayenge Aur Jo Iman Ki Wajah Se Aur Sawab Ke Liye Shab e Qadr Ka Qayam Karega, Uske Agle Gunah Bakhsh Diye Jayenge
📖 Sahi Bukhari
Hadis 9: Imam Ahmad Wa Hakim Aur Tibrani Kabir Me Aur Ibne AbidDunya Aur Baihaqi Shobul Iman Me Abdullah Bin Umar Se Rawi,
Ke Rasulullah Farmate Hain,
Roza Wa Qur’Aan Banda Ke Liye Shafa’at Karenge,
Roza Kahega, Aye Rab ﷻ Maine Khane Aur Khwahisho’n Se Din Me Ise Rok Diya,
Meri Shafa’at Iske Haq Me Qabul Farma,
Qur’Aan Kahega, Aye Rab ﷻ Maine Use Raat Me Sone Se Baaz Rakha,
Meri Shafa’at Iske Haq Me Qabul Kar,
Dono Ki Shafa’ate’n Qabul Hongi
📖 Musnad Imam Ahmad
➡️ Khutba Ki Azan Masjid Ke Andar Padhna Kaisa Hai?
Hadis 10: Sahihain Me AbuHurairah Se Marwi,
Huzur-Saws- Farmate Hain, Aadmi Ke Har Nek Kaam Ka Badla 10 Se 700 Tak Diya Jata Hai,
Allah Ta’Aala Ne Farmaya, Magar Roza Ke Wo Mete Liye Hai Aur Uski Jaza Mai Dunga,
Banda Apni Khwahish Aur Khane Ko Meri Wajah Se Tark Karta Hai
Rozadar Ke Liye 2 Khushiya’n Hain Ek Iftar Ke Waqt Aur Ek Apne Rab ﷻ Se Milne Ke Waqt Aur Rozedar Ke Mub Ki Bu Allah ﷻ Ke Nazdik Mushk Se Zyada Pakiza Hai
Aur Roza Sipar Hai Aur Jab Kisi Ke Roza Ka Din Ho To Na BeHuda Bake Aur Na Chikhe Phir Agar Is Se Ko Gaali Galoch Kare Ya Ladelne Par Aamada Ho To Keh De, Mai Rozedar Hu’n,
📖 Mishkatul Masabeh
Hadis 11: Tibrani Ausat Me Aur Baihaqi Ibne Umar Se Rawi,
Rasulullah Ne Farmaya, Allah ﷻ Ke Nazdik Aalam 7 Qism Ke Hain.
2 Amal Wajib Karne Wale Aur 2 Ka Badla Unke Barabar Hai Aur Ek Amal Ka Badla 10 Guna Aur Ek Amal Ka Muawza 700 Hai Aur Ek Wo Amal Hai Jiska Sawab Allah ﷻ Hi Jane Wo 2 Jo Wajib Karne Wale Hain Unme,
1, Jo Khuda Se Is Haal Me Mile Ke Khalis Usi Ki Ibadat Karta Tha, Kisi Ko Uske Sath Sharik Na Karta Tha, Uske Liye Jannat Wajib,
2, Jo Khuda Se Mila Is Haal Me Ke Usne Shirk Kiya To Uske Liye Jahannam Wajib
3, Jisne Burayi Ki, Usko Usi Qadar Saza Di Jayegi
4, Jisne Neki Ka Irada Kiya, Magar Amal Na Kiya To Usko Ek Neki Ka Badla Diya Jayega
5, Jisne Neki Ki Usko 10 Guna Sawab Milega
6, Jisne Allah ﷻ Ki Raah Me Kharch Kiya Usko 700 Ka Sawab Milega, Ek Dirham Ka 700 Dirham Aur Ek Deenar Ka Sawab 700 Deenar
Aur Roza Allah ﷻ Ke Liye Hai Uska Sawab Allah ﷻ Ke Siwa Koi Nahi Janta
📖 Shobul Iman
➡️ Khutba Ke Waqt Chanda Karna Kaisa Hai?
Hadis 12/15: Imam Ahmad BaAsnad Hasan Aur Baihaqi Riwayata Karte Hain
Ke Huzur Ne Farmaya, Roza Sipar Hai Aur Dozakh Se Hifazat Ka Mazbut Qila,
Usi Ke Qarib Jabir Usman Bin AbilAas Wa Ma’Aaz Bin Jabal Se Marwi
📖 Musnad Imam Ahmad
Hadis 16/17: AbuYoala Wa Baihaqi Salama Bin Qais Aur Ahmad Wa Bazar AbuHurairah Se Rawi,
Ke Rasulullah Ne Farmaya, Jisne Allah ﷻ Ki Raza Ke Liye 1 Din Ka Roza Rakha Allah ﷻ Jahannam Se Usko Itna Door Kardega Jaise Kawwa Ke Jab Bachcha Tha Us Waqt Tak Udta Raha Yaha’n Tak Ke Budha Ho Kar Mara
📖 Musnad Imam Ahmad
Hadis 18: AbuYoala Wa Tibrani AbuHuarairah Se Rawi,
Rasulullah -Saws-Ne Farmaya, Agar Kisi Ne Ek Din Nafil Roza Rakha Aur Zamin Bhar Use Sona Diya Jaye Jab Bhi Uska Sawab Pura Na Hoga,
Uska Sawab To Qayamat Hi Din Milega
📖 Musnad AbiYoala
Hadis 19: Ibne Maja AbuHuarairah Se Rawi,
Ke Rasulullah Ne Farmaya, Har Shae Ke Liye Zakat Hai Aur Badan Ki Zakat Roza Hai Aur Roza Nisf Sabr Hai
📖 Sunane Ibne Maja
➡️ Khutba Ke Waqt Durud Sharif Padhna Kaisa Hai?
Hadis 20: Nasai Wa Ibne Khuzaima Wa Haakim Abu Umama Se Rawi,
Arz Ki Ya Rasulullah Mujhe Kisi Amal Ka Hukm Farmaiye?
Farmaya, Roza Ko Lazim Karlo Ke Uske Barabar Koi Amal Nahi
Maine Arz Ki, Mujhe Kisi Amal Ka Hukm Farmaiye?
Irshad Farmaya, Roza Ko Lazim Karlo Uske Barabar Koi Amal Nahi,
Unho Ne Phir Wahi Arz Ki Wahi Jawab Irshad Farmaya
📖 Sunanae Nasai
Hadis 21/26: Bukhari Wa Muslim Wa Tirmizi Wa Nasai Abu Saeid -Rau-Se Rawi,
Huzur e Aqdas -Saws-Ne Farmaya, Jo Banda Allah ﷻ Ki Raah Me Ek Roza Rakhe Allah Ta’Aala Uske Muh Ko Dozakh Se 70 Baras Ki Raah Door Farma Dega,
📖 Sahi Muslim
Aur Isi Ki Misl Nasai Wa Tirmizi Wa Ibne Maja AbuHurairah -Rau-Se Rawi,
Aur Tibrani AbuDarda Aur Tirmizi Abu Umama Se Riwayat Karte Hain
Farmaya Ke Uske Aur Jahannam Ke Darmiyan Allah Ta’Aala Itni Badi Khandaq Kardega Jitna Aasman o Zamin Ke Darmiyan Fasla Hai
📖 Jame Tirmizi
Aur Tibrani Ki Riwayat Amro Bin Absa Se Hai Ke
Dozakh Us Se 100 Baras Ki Raah Door Hogi
📖 AlMoajamul Ausat
Aur Abu Yoala Ko Riwayat Ma’Aaz Bin Anas Se Hai Ke
Gair Ramzan Me Allah ﷻ Ki Raah Me Roza Rakha To Tez Ghode Ki Raftar Se 100 Baras Ki Musafat Par Jahannam Se Door Hoga
📖 Musnad AbiYoala
➡️Namaz Me Seene Ke Batan Kholna Kaisa Hai?
Hadis 27: Baihaqi Abdullah Bin Umar Bin Al’Aas Se Rawi,
Ke Rasulullah Farmate Hain, Rozadar Ki Dua Iftar Ke Waqt Rad Nahi Ki Jati
📖 Shobul Iman
Hadis 28: Imam Ahmad Wa Tirmizi Wa Ibne Maja Wa Ibne Khuzaima Wa Ibne Hubban AbuHurairah Se Riwayat Karte Hain,
Rasulullah Farmate, 3 Shakhs Ki Dua Rad Nahi Ki Jati, Rozadar Jis Waqt Iftar Karta Hai Aur Badshah Aadil Aur Mazlum Ki Dua, Isko Allah Ta’Aala Abr Se Upar Baland Karta Hai Aur Iske Liye Aasman Ke Darwaze Khole Jate Hain
Aur Rab ﷻ Farmata Hai, Mujhe Apni Izzat o Jalal Ki Qasam! Zarur Teri Madad Karunga Agarche Thode Zamana Baad
📖 Sunanae Ibne Maja
Hadis 29: Ibne Huban Wa Baihaqi Abu Saeid Khudri Se Rawi,
Ke Nabi Farmate Hain, Jis Ne Ramzan Ka Doza Rakha Aur Uski Hudood Ko Pahucha Aur Jis Chiz Se Bachna Chahiye Us Se Bacha To Jo Pehle Kar Chuka Hai Uska Kaffara Ho Gaya
📖 Al Ehsan Bittartib Sahi Ibne Huban
➡️Kya Namaz e Juma Ki Qaza Hai?
Hadis 30: Ibne Maja Ibne Abbas Se Rawi,
Ke Huzur Farmate Hain, JisNe Makka Me Maah e Ramzan Paya Aur Roza Rakha Aur Raat Me Jitna Mayassar Aaya Qayam Kiya To Allah Ta’Aala Uske Liye Aur Jagah Ke 100000 Ramzan Ka Sawab Likhega
Aur Har Din Ek Gardan Aazad Karne Ka Sawab Aur Har Raat Ek Gardan Aazad Karne Ka Sawab Aur Har Roz Jihad Me Ghode Par Sawar Kardene Ka Sawab Aur Har Din Me Hasnah Aur Har Raat Me Hasnah Likhega
📖 Sunane Ibne Maja
Hadis 31: Baihaqi Jabir Bin Abdullah Se Rawi,
Huzur-Saws- Farmate Hain, Meri Ummat Ko Maah e Ramzan Me 5 Baate’n Di Gayi’n Ke Mujh Se Pehle Kisi Nabi Ko Na Mili
Awwal, Ye Ke Jab Ramzan Ki Pehli Raat Hoti Hai Allah ﷻ Unki Taraf Nazar Farmata Hai Aur Jis Ki Yaraf Nazar Farmayega Use Kabhi Azab Na Karega,
Dusri, Ye Ke Sham Ke Waqt Unke Muh Ki Bu Allah ﷻ Ke Nazdik Mushk Se Zyada Achchi Hai
Tisri, Ye Hai Ke Har Din Aur Har Raat Me Firishte Unke Liye Astagfar Karte Hain
Chauthi, Ye Ke Allah ﷻ Jannat Ko Hukm Farmata Hai, Kehta Hai Musta’ad Ho Ja Aur Mere Bando’n Ke Liye Muzayyan Hoja Qarib Hai Ke Duniya Ki Ta’ab Ye Yaha’n Aakar Aaram Kare’n
Pachwi, Ye Ke Jab Aakhir Raat Hoti Hai To Un Sab Ki Magfirat Farma Deta Hai
Kisi Ne Arz Ki, Kya Wo Shab e Qadr Hai
Farmaya, Nahi Kya Tu Nahi Dekhta Kaam Karne Wale Karte Hain Jab Kaam Se Farig Hote Hain Us Waqt Mazduri Pate Hain
📖 Shobul Iman
Hadis 32/34: Haakim Ne Ka’ab Bin Ujra -Rau-Se Riwayat Ki,
Rasulullah -Saws-Ne Farmaya, Sab Log Mimbar Ke Paas Hazir Ho’n
Hum Hazir Hue,
Jab Huzur-Saws- Mimbar Ke Pehle Darja Par Chadhe, Kaha Aamin
Dusre Par Chadhe, Kaha Aamin
Tisre Par Chadhe, Kaha Aamin
Jab Mimbar Se Tashrif Laye Humme Arz Ki
Aaj Humne Huzur Se Aysi Baat Suni Ke Kabhi Na Sunte The
Farmaya, Jibrail Aakar Arz Ki Wo Shakhs Dur Ho Jisne Ramzan Paya Aur Apni Magfirat Na Karayi
Maine Kaha Aamin
Jab Dusre Darja Par Chadha To Kaha Wo Shakhs Dur Ho Jiske Paas Mera Zikr Ho Aur Mujh Par Durud Na Bheje
Maine Kaha Aamin
Jab Tisre Darje Par Chadha Kaha Wo Shakhs Dur Ho Jis Ke Maa Baap Dono Ya Ek Ko Budhapa Aye Aur Unki Khudmat Karke Jannat Me Na Jaye
Maine Kaha Aamin
📖 Al’Mustadrak
➡️Asr Ka Roza Rakhna Kaisa Hai?
Hadis 35: Asbahani Ne AbuHurairah Se Riwayat Ki,
Ke Rasulullah -Saws-Ne Farmaya, Jab Ramzan Ki Pehli Raat Hoti Hai Allah ﷻ Apni Makhluq Ki Taraf Nazar Farmata Hai Aur Jab Allah ﷻ Kisi Bande Ki Taraf Nazar Farmaye To Use Kabhi Azab Na Dega
Aur Har Roz 10 Lakh Ko Jahannam Se Aazad Karta Hai
Phir Jab Eidul Fitr Ki Raat Aati Hai Malaika Khushi Karte Hain Aur Allah ﷻ Apne Noor Ki Khas Tajalli Farmata Hai
Firishto’n Se Farmata Hai, Aye Giroh e Malaika Us Mazdur Ka Kya Badla Hai Jisne Kaam Pura Kar Liya
Firishte Arz Karte Hain Usko Pura Ajr Diya Jaye
Allah ﷻ Farmata Hai, Mai Tumhe Gawah KRta Hu’n Ke Maine In Sab Ko Bakhsh Diya
📖 Kanzul Ummal
Hadis 36: Ibne Khuzaima Ne Abu MasUood Gifari Se Ek Taweel Hadis Riwayat Ki Usme Ye Bhi Hai
Ke Huzur Ne Farmaya, Agar Bando’n Ko Maloom Hota Ke Ramzan Kya Chiz Hai To Meri Ummat Tamanna Karti Ke Pura Saal Ramzan Ho
📖 Sahi Ibne Khuzaima
Hadis 37: Bazaro Ibne Khuzaima Ibne Huban Amro Bin Murrah Jehni Ss Rawi,
Ke Ek Shakhs Ne Arz Ki, Ya Rasulullah -Saws-Farmaiye Agar Mai Uski Gawahi Du’n Ke Allah ﷻ Ke Siwa Koi Mabood Nahi Aur Huzur Allah ﷻ Ke Rasool Hain
Aur Pancho (5) Namaze’n Padhu’n Aur Zakat Ada Karu’n Aur Ramzan Ke Roze Rakhu’n Aur Uski Raato’n Ka Qayam Karu’n To Mai Kin Logo Me Se Hunga ?
Farmata, Siddiqin Aur Shohda Me Se
📖 Al Ehsan Bittartib Sahi Ibne Huban