Ramzan Ke Roze Kab Farz Hue?
Madina Sharif Me 10 Shawwal 2 Hijri Ko,
📖 Khazain, Safa 42
➡Ramzan Ki Fazilat Qur’Aan o Hadis Ki Raushni Me
Ramzan Ke Rozo Ki Ahmiyat
Ramzan Ke Roze Islam Ki 5 Buniyado’n Me Se Ek Buniyad Aur Sab Ss Zyada Aham Wa Zaruri Ahkam Me Se Ek Hukm Hai
JanBujh Kar Ramzan Ke Roze Na Rakhne Wala Sahi Mane Me Musalman Nahi Hai
Sirf Ek Roza Rakh Kar BeWajah Tod Dene Ki Duniya Me Saza Badla (Jise Kaffara Kehte Hain) Ye Hai Ke Ek Gulam Aazad Kare Ya Phir 60 Roze Lagatar Rakhe Ya Phir 60 Miskino’n Ko Dono Waqt Ka Khana Khilaye Aur Tauba Kare
Qur’Aan Kareem Me Jagah Jagah Aur Saikado’n Hadiso’n Me Ramzan Ke Rozo Ka Zikr Maujud Hai
Agar Koi Shakhs Ramzan Ka Sirf Ek Roza JanBujh Kar Chhod De Aur Pure Saal Ke Roze Rakhe Tab Bhi Iska Badla Nahi Ho Sakta Jiske Faraiz Pure Na Ho Uska Koi Nafil Qabul Nahi Hai
Ramzan Ke Roze Na Rakhna To Bahut Bada Gunah Aur Sakht Haram Hai Lekin Unki Farziyat Ka Inkar Karna Yani Ye Kehna Ke Ye Koi Zaruri Kaam Nahi Hai Kuf Hai
Aur Ye Khene Wala Kafir Hi Jata Hai
Ayse Hi Rozo Ki Ya Rozedaro’n Ki Roze Ki Wajah Se Hasi Udane Mazaq Banane Wala Bhi Musalman Nahi Rehta
Jaise Kuch Log Keh Dete Hai Ke
Roza Wo Rakhe Jiske Ghar Khane Ko Na Ho
Aysa Kehne Wala Islam Se Kharij Ho Jata Hai
Ayse Hi Ye Misal Dena Ke
Namaz Padhne Gaye The Roze Gale Pad Gaye, Ye Bhi Kalma e Kufr Hai Aysa Kehne Wala Bhi Kafir Ho Jata Hai
➡ Quiz: Anguthi, Chhalle, Taweez Aur Dore Wagairah
Roze Ki Hikmate’n
Rozo Me Deeni Wa Ukhrawi (Aakhirat Ke) Faydo’n Ke Sath Duniyawi Fayde Bhi Bahut Hain
Gair Muslim Danishwaro’n Ne Bhi Islami Rozo Ki Tarif Ki Hai
Roze Rakhne Se Bhukhe Pyase Rehne Ki Aur Bhukh Pyas Bardasht Karne Ki Aadat Padti Hai Aur Ye Insani Zindgi Ke Liye Zaruri Hai
Roze Rakhne Se Khane Pine Ki Qadr o Qeemat Maloom Hoti Hai
Sahi Baat Ye Hai Ke Bhare Pet Par Umda Gizaye’n (Khane) Wo Lazzat Nahi Deti Jo Bhukhe Aur Khali Pet Wale Ko Ghatiya Qism Ki Gizao’n (Khano’n) Me Hasil Hoti Hai
Ek Garib Rozedar Ko Din Bhar Roza Rakh Kar Sham Ko Ek Gilas Pani Saada Saalan Aur Roti Ke 2 Luqmo’n (Niwalo’n) Me Jo Maza Aata Hai Wo Amiro’n Raeiso’n Nawabo’n Badshaho’n Ko Saikado’n Tarah Ke Khane Saje DatarKhwano’n Par Nahi Aata Hai
Aur Ye Allah Ka Fazl Hai Wo Jis Par Chahta Hai Farmata Hai
Ek Buzurg Se Manqul Hai Ke
Jab Wo Khana Khate To Ye Kehte Ya Allah Tera Shukr Hai Tune Bhukh Ata Farmayi
Murido’n Ne Arz Ki, Bhukh Ka Shukr Ada Karte Hain Khane Ka Shukr Ada Nahi Karte
To Farmaya, Agar Bhukh Na Hoti To Khane Me Maza Hi Na Aata
Roza Rakhne Se Insan Bhukha Rehta Hai Aur Use Bhukh Aur Pyas Ki Pareshani Mehsus Hoti Hai
To Bhukhe Logo Ko Khilane Ka Jazba Paida Hota Hai
Roza Rakhne Me Doctari Aur Tibbi Fayde Bhi Bahut Zyada Hain
Roze Aur Unki Bhukh Bahut Si Bimariyo’n Ko Khatm Kar Sakti Hai
Jism Ko Saaf Karti Hai Aur Nikharti Hai, Pet Ki Gandgi Aalaisho’n Bimari Ke Keedo’n Aur Jaraseem Ko Jalati Hai
Leki Sehri Aur Iftari Ke Waqt Thuns Kar Khana Khane Wale Ya Raat Me Baar Baar Khane Wale Roze Ke Tibbi Aur Jismani Fayde Pure Taur Par Nahi Paate
➡ Iqamat (Takbir) Khade Ho Kar Sunna Kaisa Hai?
11 Mahine Kaam 1 Mahine Aaram
Ye Ek Mashwara Hai Koi Sharayi Hukm Nahi
Kyun Ke Bahut Log Ramzan Me KamDham Ki Wajah Se Ya To Roza Rakh Hi Nahi Pate Ya Rakhte Hain To Un Par Bahut Bhari Padta Hai
Is Liye Umla e Kiram Ne Farmaya Hai Ke
Rmzan Me Ramzan Me Utna Hi Kaam Kare’n Jo Roza Rakj Kar Aasani Se Kar Sake’n
Lehaza 11 Mahine Kaam Kare Kamaye Aur Ho Sake To Ramzan Me Aaram Aur Itminan Se Roze Rakhe’n
Aur Is Maah e Mubarak Ko Ibadat o Tilawat Me Guzare’n !
Aaj Kal Aksar Log Jo Kaam Dhande Ke Liye Pagal Se Bane Ghum Rahe Hain
Ye Pet Ki 2 Roti Aur Tan Ke 2 Kapdo’n Ke Liye Nahi Balki Inho Ne Apne Shauq Arman Aur Kharche Badha Liye Hain
Unkk Purti Ke Liye Unhe Raat Din Fursat Nahi Hai
Aaj Kal Beyah Shadi Rasm o Riwaj Khane Pine Odhne Bichaune Ghar Makan Banane Ke Kitne Kharche To Wo Hain
Jo Aadmi Zarurat Ko Wajah Se Nahi Balki Shan Shokhi Dikhne Ya Yaaro Dosto Ke Kehne Sunne Ki Wajah Se Karta Hai
Ke Aysa Nahi Karumga To Log Kya Kahenge Ye Nahi Hoga To Kya Kahenge
Ye Sab Bade BeWaquf Hote Hain Ke
Jo Dusro Ke Kehne Me Aakar Ya Unko Dikhne Ke Liye Apne Aap Ko Barbad Kar Lete Hain
Bahar Haal Humara Mashwara Humare Bhaiyo Ke Liye Yahi Hai Ke
11 Mahine Kamaye’n Aur Ramzan Ka Mahina Namaz Aur Zikr o Shukr Me Guzare’n
Ramzan Me Jaha’n Tak Mumkin Ho Safar Se Bhi Bache’n
Aur Jo Shakhs Ramzan Me Roza Rakhne Wale Naukar Naukrani Ya Koi Afsar Apne Mat’hat Rozedar Mulazim Ke Sath Narmi Aur Aasani Ka Bartao Kare
Unse Kam Se Kam Kaam Le Ya Allah Taufiq Wus’at o Himmat De To BeKaam Ke Tankhwah Aur Ujrat DeDe
To Aysa Shakhs Bade Ajr Ka Mustahiq Hai
Aur Sahib e Iman Ho To Yaqinan Wo Jannat Ka Haqdar Hai
Aur Ummid Hai Ke Duniya Me Bhi Allah Ta’ata Usko Nawazega
➡ Khutba Ki Azan Masjid Ke Andar Padhna Kaisa Hai?
Roza Kise Kehte Hain ?
Pichli Ummato’n Me Roze Rakhne Ki Mukhtalif Shakle’n Aur Aurate’n Rahi Hain
Lekin Shariat e Muhammadi Me Roza Din Me Subah Sadiq Se Lekar Suraj Dubne Ke Waqt Tak Khane Pine Pet Ya Dimag Me Koi Dawa Ya Giza Dakhil Karne Sohbat Yani Humbistari Se Khud Ko Rokne Ka Naam Roza Hai
Roze Me Allah Ki Ibadat Ki Niyat Karna Bhi Zaruri Hai
Yani Dil Se Khayal Karna Ke Mera Ye Bhukha Pyasa Rehna Allab Ta’Aala Ki Ibadat Aur Udko Raazi Karne Ke Liye Hai
Agar Koi Shakhs Pure Ek Din Raat BeHosh Ya Sota Raha Ya Usko Majburan Din Me Bhukha Pyasa Rehna Pada
Koi Chiz Khane Pine Ki Mil Na Saki Ya Kisi Ne Hath Pao’n Bandh Kar Daal Diya Aur Majburi Ki Wajah Se Kuch Khan Pi Na Saka To Ye Pet Me Kuch Na Jana Bukha Pyasa Rehna Roza Nahi Kehlayega
Kyun Ke Dil Me Roze Aur Ibadat Ki Niyat Nahi Hai
Ye Bhi Jaan Lena Zaruri Hai Ke
Niyat Namaz Ki Ho Ya Roze Ki Wo Dil Ke Irade Ka Naam Hai
Zuban Se Kehna Zaruri Nahi Hai
Zuban Se Kuch Bhi Na Kahe Sirf Dil Se Irada Karle
Ke Mai Ye Kaam Khuda Ki Ibadat aur Roza Ke Liye Kar Raha Hu’n To Kafi Hai
Isi Ko Niyat Kehte Hain Namaz Aur Roze Ki Niyat Ke Jo Alfaz Wa Kalimat Raej (Riwaj Me) Hain
Ye Sab Huzur Aapke Sahaba Tabaein Ke Zamane Ke Baad Raej Hue Hain
Aur Sirf Mustahab Aur Achche Hain Zaruri Nahi Hain
Aaj Kal Kuch Log Zuban Se Ada Kiye Jane Wale Niyat Ke Alfaz Ko Farz o Wajib Aur Zaruri Sa Samajhne Lage Hain
Aur Kis Alfaz Me Mamuli Sa Ulat Pher Ya Tabdili Aa Jaye To Tufan Khada Kar Dete Hain
Ye Sab Anpadh Ya NaSamajh Log Hote Hain
Ye Nahi Jante Ke Mamuli Alfaz Ki Tabdili Ya Ulat Pher To Apni Jagah Namaz Roze Wagairah Ki Niyat Me Agar Zuban Se Bilkul Juch Na Kahe Tab Bhi Koi Harj Nahi Hai
Haa’n Jo Log Zuban Se Niyat Ke Alfaz Ada Karne Ke Bilkul Qail Hi Nahi Ise NaJaiz o Haraam Wa Bid’at Kehte Hain
Wo Jehalat Me Mubtila Hain
Zuban Se Niyat Ke Alfaz Ada Karna Jamana e Risalat Ma’Aab Me Agarche Raej Na Ho
Lekin Sabit Zarur Hai
Inko Samjhane Ke Liye Hum Sirf Qur’Aan Ki Ek Aayat Aur Kuch Hadis e Rasool Likh Dete Hain
Qur’Aan Kareem Me Hai
قل ان صلاتی ونسکی ومحیای ومماتی لله رب العالمین
Tarjma: Tum (Zuban Se) Kaho Ki Meri Namaz Aur Har Qism Ki Ibadat Aur Mera Marna Jina Sab Allah Ke Liye Hain Jo Sare Jahano’n Ka Rab Hai
📖 Para 8, Ruku 7
Yani Jo Kaam Allah Ki Raza Aur Uski Ibadat Ke Taur Par Kiya Jaye Uska Iz’har Zuban Se Bhi Kiya Ja Sakta Hai
Ke Hum Ye Kaam Allah Ke Liye Kar Rahe Hain
Hadis e Paak Me Hai Ke
Ek Sahabi e Rasool Hazrat Sayyidina Sa’ad Bin Ubadah Ki Maa Ka Inteqal Hua To Unho Ne Huzur Se Daryaft Kiya Ke
Meri Maa Ka Inteqal Hua Hai Unki Ruh Ko Sawab Pahuchane Ke Liye Kaun Sa Sadqa Behtar Hai
Huzur Ne Farmaya, Pani Behtar Hai
To Unho Ne Ek Kua’n Khudwa Diya Aur Uske Paas Khade Ho Kar Zuban Se Ye Alfaz Kahe
ھذہ لام سعد
Ye Meri (Sa’ad Ki) Maa Ke Liye Hai
Yani Is Se Jo Fayda Uthaye Uska Sawab Meri Maa Ko Pahuchta Rahe
📖 Mishkat Sharif, Safa 169
To Baat Saf Hai Ke Zuban Se Niyat Ke Alfaz Ada Karna NaJaiz Hota To Hazrat e Sa’ad Kue’n Ke Pas Khade Ho Kar Muh Se Ye Na Kehte Ke
Ye Kua’n Meri Maa Ke Liye Hai
Kyun Ke Kua’n Ma Ke Isal e Sawab Ki Niyat Se Khudwaya Tha
Pata Chala Kisi Kaar e Khair (Achche Kaam) Ke Karne Ke Liye Dil.Ke Irade Ke Sath Zuban Se Keh Lene Me Bhi Koi Harj Nahi Hai
Iske Alawa Ek Aur Hadis e Paak Me Hai
Rasool e Paak Ne Qurbani Ke 2 Mendhe Seeng Wale Chitkabre Khassi Kiye Hue Zibah Kiye
Aur Zibah Ke Waqt Qurbani Aur Zibah Ki Dua Padhne Ke Baad Farmaya
ھذاعنی وعن من لم یضح من امتی
Tarjma: Ye Mari Taraf Se Aur Meri Ummat Ke Un Logo Ki Taraf Se Jinho Ne Qurbani Nahi Ki
📖 Mishkat Sharif, Safa 128
Allah Ta’Aala Dil Ke Irado’n Se Khub Waqif Hai
Iske BaWajud Sarkar -Saws-Ka Zuban Se Ye Farmana Ki Ye Qurbani Meri Aur Meri Ummat Ke Un Logo Ki Taraf Se Hai Jo Qurbani Na Kar Sake’n
Is Se Saaf Pata Chalta Hai Ke
Kisi Na Kisi Shakl Me Zuban Se Niyat Ke Alfaz Ki Adayegi Paigambar e Islam Aur Aapke Sahaba -Raum-Se Sabit Hai
Phir Isko Ek Dam Bid’at Aur NaJaiz Keh Dena Mazhab Se NaWaqifi Hai
➡ Khutba Ke Waqt Durud Sharif Padhna Kaisa Hai?
Ramzan Ke Roze Kis Par Farz Hain?
Har Musalman Mard Aurat Jo Samajhdar Aur Balig Ho Us Par Ramzan Ke Roze Farz Hain
NaBalig Bachche Aur Pagal Par Roze Farz Nahi
Aurato’n Ko Unke Maahwari (M.C) Ke Dino Me Roze Rakhne Ki Ijazat Nahi Hai Ramzan Ke Baad Un Rozo Ki Qaza Kare
Jo Kamzor Aurat Hamal (Pregnant) Yani Pet Se Ho Ya Bachche Ko Dudh Pilati Ho Aur Roze Rakhne Ki Wajah Se Apni Ya Bachche Ki Jaan Jane Ya Sakht Bimari Ka Khatra Mehsus Kate Wo Roza Qaza Kar Sakti Hai
Yu’n Hi Bimar Aur Kamzor Aadmi Ramzan Ke Roze Rakhne Ki Wajah Se Bimari Khatarnak Hone Ya Jaan Jane Ka Sahi Guman Kate Usko Bhi Roza Qaza Karne Ki Ijazat Hai
Jo Shakhs Shar’an Musafir Hai
Usko Qur’Aan o Hadis Me Roze Na Rakhne Ki Ijazat Di Gayi Hai
Lekin Safar Me Agar Aaram Ho Koi Khas Pareshani Na Ho To Roza Rakh Lena Hi Behtar Hai
Haa’n Agar Na Rakhe Tab Bhi Wo Gunahgar Nahi Hai
Jabke Ramzan Ke Baad Qaza Karle
Jo Shakhs Budhape Ki Wajah Se Itna Kamzor Ho Gaya Ho Ke Usme Roza Rakhne Ki Taqat Nahi Aur Aayinda Sahi Hone Ki Bji Koi Ummid Nahi Us Par Roze Muaf Hain
Lekin Har Roze Ke Badle Fidya Dena Us Par Wajib Hai
Aur Fidya Ye Hai Ke
Har Roze Ke Badle Ek Mohtaj Ko Dono Waqt Pet Bhar Kar Khana Khilaye Ya Har Roze Ke Badle Sadqa e Fitr Ke Barabar Galla Ya Rupya Khairat Kare
Jo Zyada Sahi Tehqiq Ke Mutabiq
Taqriban 2 Kilo 45 Gram Gehu’n Hai
Aaj Kal Sahi Mana Me ZaruratMand Mohtaj o Miskin Nahi Milte Aam Taur Par Peshawar Faqir Hain
Un Me Bhi Zyadatar BeNamazi Fasiq o BaKaar Gunde Lafange Juari Sharabi Tak Hain
Lehaza Deeni Madarso’n Ke Talba (Students) Aur Zaruratmand Mustahiq Masjido Ke Imamo’n Muazzino’n Ko Is Qism Ki Raqme’n Ya Galle De Diye Jaye’n To Zyada Behtar Hai
Wo Aurate’n Jike Shauhar Inteqal Kar Gaye Aur Unho Ne Dusra Nikah Bhi Na Kiya Ayse Hi Wo Ghar Jisme Ek Hi Kamane Wala Tha Wo Bhi Bimar Ho Gaya Is Qism Ke Log Sahib e Jaedad Na Ho Sadqa o Khairat Ke Mustahiq Ho’n To Ayso Ko Talash Kar Ke Dena Chahiye
Peshawar Aur Mangne Walo Se Ayse Zaruratmand’n Ko Dena Zyada Sawab Ka Kaam Hai
Aur Un Logo Ko Bhi Lene Me Sharm Nahi Karni Chahiye
Aaj Kal Kuch Logo Ko Dekha Gaya Hai Ke
Wo BeImani Khayanat Aur Qarz Wa Udhar Lekar Na Dene Ke Aadi Hain
Lekin Agar Koi Zakat Sadqa Khairat Ya Fidya Ki Raqam De To Isko Lene Me Apni Tauhin Samajhte Hain
Ye Unki Bhul Hai
Agar Koi Shakhs Zakat, Fitra, Sadqa Wagairah Wa Khairat Ka Mustahiq Aur Zaruratmand Ho Lekin Lene Me Sharm Mehsus Kare
To Usko Bataya Na Jaye Ki Ye Zakat Khairat HAI Hadiya Ya Tohfa Nyota Wagairah Jis Naam Se Chahe Dede
Aapki Zakat, Fidya, Kaffara Ada Ho Jayenge
Aur Ji Budhe Ke Tandrust Hone Ki Ummid Na Ho Aur Sath Garib Wa Nadar Fidya Dene Par Qudrat Na Rakhta Ho Usko Chahiye Ke
Tauba Wa Istagfar Karta Rahe Uske Liye Roze Muaf Hain
📖 Khazainul Irfan
➡ Khutba Ke Waqt Sunnate’n Padhna Kaisa Hai?
Kin Chizo’n Se Roza Toot’ta Hai Aur Kin Chizo’n Se Nahi?
Khane Pine, Sohbat (Humbistari) Karne Se Roza Tut Jata Hai
Aur Agar Rozedar Hona Yaad Na Ho Bhul Aur Dhokhe Me Ye Kaam Hue Ho’n To Roza Nahi Tut’ta
Bidi, Sigret, Hukka, Sigar Pine,
Paan, Tambaku, Surti, Gutkha Khane Se Bhi Roza Tut Jata Hai
Paan Ki Peek Thuk Di Phir Bhi Roza Na Raha
Kaan Me Tel Ya Dawa Dalne Se Bhi Roza Tut Jata Hai
Pani Agar Kaan Me Pahuch Jaye To Roza Nahi Tut’ta
Loban, Agarbatti Wagairah Ka Dhuna Naak Ya Muh Me Chala Jaye To Is Se Bhi Roza Nahi Tut’ta
Aurat Ko Sirf Chune Se Ya Dillagi Karne Se Roza Nahi Tut’ta
Haa’n Agar Inzal Ho Gaya Yani Mani Nikal Gayi To Roza Tut Gaya
Roze Ki Haalat Me Soya Aur Ehtelam Ho Gaya Yani Sote Me Mani Nikal Gayi To Roza Nahi Tutega
Roze Me Majburi Ki Haalat Me Injekshan Lagwaya Ja Sakta Hai
Chahe Rag (Nas) Me Lage Ya Gosht Me
Majburi Ki Haalat Me Glukoz Wagairah Ki Botale’n Bhi Chadhayi Ja Sakti Hain
Lekin Jaha’n Tak Mumkin Ho Is Se Bachna Behtar Hai
Qae (Ulti) Agar Khud Se Ho To Roza Nahi Tut’ta
Haa’n Agar JanBujh Kar Apne Se Qae (Ulti) Ki To Agar Mub Bhar Kar Ho To Roza Tut Jayega
Miswak Karne, Khushbu Sunghne, Aankh Me Surma Lagane Ya Dawa Dalne
Sar Ya Badan Par Tel (Oil) Ya Baam Malne Se Roza Nahi Tut’ta
Daanto Me Manjan Malne Ya Brash Karne Se Bachna Chahiye
Agar Kiya Aur Pet Aur Halaq Me Koi Chiz Na Gayi To Roza Nahi Tutega Lekin Ehteyat Mushkil Hai Is Liye Bachna Zaruri Hai
Raat Me Yani Jin Waqto (Time) Me Rozedaro’n Ke Liye Khana Pina Jaiz Hai
In Waqto (Time) Me Miya Biwi Ka Hambistar Hona Aur Sohbat (Sex) Karna Bhi Jaiz Hai
➡ Azan Ke Waqt Baate’n Karna Kaisa Hai?
➡Asr Ka Roza Rakhna Kaisa Hai?
Roze Ke Makruhat
Makruh Ka Matlab Wo Kaam Hai Ke Jinke Karne Se Roza To Nahi Tut’ta Lekin Sawab Me Kami Hoti Hai
Aur Baar Baar Aysa Karne Se Gunahgar Aur Azab Ka Haqdar Hota Hai
Jhuth, Badi, Geebat, Chugli Karna, Gali Dena, Behuda Baate’n Karna Ye Sab Kaam NaJaiz o Gunah Hain
Roze Me Aur Zyada Gunah Hain Inse Roza Makruh Ho Jata Hai Aur Uska Noor Jata Rehta Hai
BeZarurat Kisi Chiz Ko Chakha Ya Chabaya Aur Thuk Diya
Halaq Me Iska Koi Hissa Na Gaya To Aysa Karna Roze Me Makruh Hai
Aur Agar Kuch Hissa Gale Me Utar Gaya To Roza Tut Gaya
Khane Pakane Wali Aurat Agar Uska Shauhar Ya Malik BadMizaj Aur Zalim Hai To Wo Namak Chakh Sakti Hai Jabki Wo Fauran Thuk De
Agar Koi Aysi Chiz Kharidi Ke Bagair Chakhe Kharidne Se Nuqsan Ho Sakta Hai To Chakh Kar Dekh Sakta Hai Fauran Thuk Dena Yaha’n Bhi Zaruri Hai
Biwi Ko Chumna, Chhuna, Gale Lagana Roze Me Makruh Hai Jabke Ye Khatra Ho Ki Aysa Karne Se BeQabu Ho Jayega Aur Apne Upar Kantrol (Control) Nahi Kar Sakega Aur Hambistari Kar Baithega Aur Agar Ye Khatra Na Ho Aur Apne Upar Pura Bharosa Ho To Chumna, Chhuna, Lipatna Jaiz Hai
Magar Apne Nafs Par Bharosa Nahi Karna Chahiye
Shaitan, Insan Ka Khula Dushman Hai Aur Waqt Sath Laga Hai
Aysi Khushbu Jisme Dhua’n Na Ho Isko Sumghne Se Roza Makruh Nahi Hota
Dhue’n Wali Khushbu Agar Naak Me Aa Jaye To Isme Koi Harj Nahi
Haa’n Agar Khub Zor Laga Kar Qarib Se JanBujh Kar Itna Sunghna Ki Dua’n Halaq Ya Dimag Me Pahuch Jaye, Roza Tod Deta Hai
➡Na’Baaligh Ki Imamat Kaisi Hai?
➡ Sote Hue Ko Namaz Ke Liye Jagana Kaisa Hai?
Tarawih Ki Namaz Se Mutalliq Kuch Zaruri Baate’n
Ramzan Ki Raato’n Me 20 Rakat Tarawih Ki Namaz Isha Ke Farzo’n Ke Baad Mardo’n Aur Aurato’n Ke Liye Sunnate MuAkkida Hai
Jo Chhodne Ki Aadat Dale Wo Gunahgar Hai
Kabhi Kabhar Chhut Jane Me Gunah Nahi
Aur Uaki Jama’at Sunnate Kifaya Hai
Agar Sab Log Gharo’n Me Padhe’n Masjid Me Jama’at Hi Na Ho To Sab Gunahgar Honge
Aur Aksar Log Masjid Me Jama’at Se Ada Kare’n Aur Koi Shakhs Ghar Me Padhe To Wo Gunahgar Nahi
Lekin 5 Waqt Fajr, Zuhar, Asr, Magrib Isha Ki Namaz Ki Adaegi Mazhab e Islam Me Sab Se Aham Fariza Hai
Ek Waqt Ki Namaz Chhodna Bhi Bada Haraam Hai
Aur BeWajah Jama’at Chhodne Ki Aadat Bhi Gunah e Kabira Wa Haraam Hai
Kuch Log Kehte Hain Ke
Tarawih Padhe’n To Puri Rozana Mahine Bhar
Ya Phir Kisi Din Na Padhe’n Aur Pabandi Na Kar Pane Ki Wajah Se Bilkul Nahi Padhte
To Ye Unki Galat Fehmi, Nadani, Aur Jehalat Hai
Sahi Baat Ye Hai Ke
Jis Din Padhi Jayegi Us Din Ka Sawab Milega Aur Jis Din Nahi Padhi Us Din Ka Sawab Nahi Milenga
Aur BeMajburi Chhodne Ki Aadat Dale To Gunahgar Hoga
Aurato’n Ke Liye Bhi Tarawih Sunnate MuAkkida Hai
Lekin Unhe Masjid Me Jane Ki Ijazat Nahi
Gharo Me Ada Kare’n Jama’at Bhi Kar Sakti Hain
Lekin Aurat Imamat Na Kare Koi Mard Kare
Jab Ki Us Jama’at Se Masjid Ki Jama’at Par Koi Khas Farq Na Pade
Aur Jama’at Me Agar Mard, Bachche, Aur Aurate’n Sab Ho’n To Imam Ke Piche Mard Phir Bachche Phir Aurate’n Khadi Ho’n
Sirf Aurato’n Ki Imam Agar Aurat Ho Tab Bhi Namaz Ho Jayegi Lekin Karaahat Ke Sath
Kuch Log Ramzan Me Shuru Ke Kuch Dino Me Hafiz Se Tarawih Me Pura Qur’Aan Sun Lete Haim
Aur Phir Baqi Din Tarawih Ke Waqt Aazad Ghumte Hain
Ye Ek Galat Tariqa Hai Aur Riwaj Hai Un Par Baqi Dino Ki Tarawih Chhodne Ka Wabaal Rahega
Tarawih Me Sirf Qur’Aan Sunna Padhna Hi Sunnat Nahi Balki Pure Mahine Tarawih Padhna Bhi Sunnat Hai
Aur Kayi Kayi Paare Ek Din Me Padh Kar Kuch Dino Me Qur’Aan Khatm Kar Dena Bhi Munasib Nahi
Behtar Aur Munasib Tariqa Ye Hai Ke
Ek Paare Se Kuch Zyada Rozana Padhte Rahe’n
Aur Sattaiswi’n (27wi) Shab Me Qur’Aan Khatm Kare’n
Isi Me Hikmat o Maslehat Hai
Aur Yahi Sahaba e Kiram Se Marwi Hai
➡ Sunnat e Gair-Mo’Akkeda Ko Padhne Ka Sahi Tariqa Kya Hai?
Namaz Me Zyada Lambi Ya Zyada Jaldi Qirat Karna
Namaz Me Itni Lambi Qirat Ki Aam Namazi Rakjida Pareshan Ho’n Pasandida Nahi Hai
Balki Makruh o Mamnu Hai
Bukhari Wa Muslim Ki Hadis e Paak Me Hai Ki
Sahabi e Rasool Hazrat MuAaz Bin Jaba Apni Qaum Ko Namaz Padhate Isha Ki Namaz Me Surah Baqar Tilawat Ki
Kuch Logo Ne Huzur Se Shikayat Ki To Huzur Naraz Ho Gaye Aur Farmaya
افتان یامعاذ
Aye MuAaz Kya Tum Logo Ko Aazmayish Me Dalte Ho?
📖 Mishkat Sharif, Babul Qirat, Safa 179
Iske Alawa Bukhari o Muslim Ki Dusri Hadis Me Hai
Huzur-Saws-Ne Farmaya
Jab Tum Me Koi Shakhs Logo Ko Namaz Padhaye
To Halki Padhaye Unme Kamzor Bimar Aur Budhe Log Bhi Haim Aur Jab Akela Padhe To Chahe Jitni Lambi Padhe
📖 Mishkat Sharif, Babul Imamat, Safa 101
📖 Bukhari Sharif, Jild 1, Safa 97
Aur Islami Mizaj Yahi Hai Ki
Namaz Ki Jama’at Ho Ya Koi Zikr Ki Mehfil Aur Majlis Jo Kaam Aam Logo Ko Shamil Kar Ke Kiya Jaye Usme Ikhtesar Mahbub o Pasandida Hai
Deen Ke Naam Par Zyada Der Tak Logo Ko Rokna Unhe Uljhan o Pareshani o Aazmayish Me Dalna Hargiz Munasib Nahi Hai
Aur Unki Islami Deeni Muhabbat Ka Galat Istemal Hai
Isi Tarah Jo Hafiz Zyada Zyada Qur’Aan Padhne Ke Liye
Jaldi Jaldi Me Sahi Taur Par Makharij Ki Adayegi Nahi Kar Pate
Ya Kuch Huroof o Kalimat Ya Zer Zabar Pesh Ki Harkaat Chhod Jate Hain
Wo Khud Bhi Bade Gunahgar Hote Hain Aur Dusro Ko Bhi Karte Hain
Aur Bajaye Sawab Ke Azab Pate Hain Aur Dusro Ke Liye Azab Ban Jate Hain
Aur Bahut Jaldi Jaldi Yezi Ke Sath Galat Salat Qur’Aan e Kareem Padhne Wale Ya Fasiq o Fajir BeNamazi Aawara Mizaj Aazad Khayal Hafiz Ke Piche Tarawih Ki Namaz Ada Karne Aur Qur’Aan Sunne Se Behtar Hai
Ke Sahi Tilawat Karne Wale Deendar Piche 30we Paare Ki Aakhiri 10 Surato’n Se Namaz Ada Kar Li Jaye
Jaisa Ke Bahut Si Jagah Iska Riwaj Hai
Har Rakat Me Surah Ikhlas Sharif (QulHuWalla) Ki Tilawat Karke Bhi Tarawih Ki Namaz Ada Karna Maroof Hai Air Jaiz Hai
Jaisa Ki 📖 Fatawa Aalamgiri Me Hai
➡ Nakhuno’n Par Nailpolish Laga Kar Nahane Se Paak Honge Ya Nahi?
Kya Tarawih Ki Qaza Hai?
Tarawih Ki Namaz Ki Qaza Nahi Hai !
Agar Kisi Din Ki Tarawih Reh Gayi To Dusre Din Uski Qaza Nahi Ki Ja Sakti
Haa’n Tarawih Ka Waqt Isha Ki Namaz Ke Baad Se Lekar Subah Sadiq Tak Hai
Yani Sehri Ka Waqt Khatm Hone Se Pehle Jab Bhi Padh Le Wo Ada Hai Qaza Nahi
Jisne Isha Ke Farz Jama’at Se Na Padhe Ho’n Wo Witar Ki Jama’at Me Sharik Na Ho, Witar Bhi Tan’ha Padhe,
Haa’n Tarawih Ki Jama’at Me Sharik Ho Sakta Hai
Hazrat Mufti Ajmal Shah Sahab Sambhali Likhte Hain
Jis Masjid Me Niche Sehn Na Ho, Ya Kam Ho Aur Garmi Ya Garmi Ke Mausam Me Niche Sakht Garmi Maloom Hoti Ho
Aur Chhat Par Aysi Chahaar Deewari Ho Ke Jisse Kisi Makan Ki BePardgi Na Hoti Ho
To Us Zarurat Ki Bina Par Garmi Ke Waqto Me Masjid Ki Chhat Par Namaz Padhi Ja Sakti Hai
📖 Fatawa Ajmaliya, Jild 2, Safa 395
➡ Namaz Me Sine Ke Batan Khule Rakhna Kaisa Hai?
➡Aadhi Aastin Ke Kapde Pahen Kar Namaz Padhna Kaisa Hai?
Shabina
Ramzan Ki Raat Me Nafil Namaz Jama’at Se Ada Karte Hain
Aur Usme Ek Ya Chand (Kuch) Hafizo’n Se Pura Qur’Aan Sunte Hain Isko Shabina Kehte Hain
Imam e AhleSunnat Sayyidi Sarkar Aala Hazrat Ne Isko Makruh Likha Hai Aud Iski Ijazat Nahi Di Hai
📖 Fatawa Razviya, Jild 7, Safa 72, Raza Foundation Lahor,
Makruh Hone Ki Wajah Ye Hai Ke
Jama’at Ki Jati Hai Aur Logo Ko Shamil Kar Ke Pura Qur’Aan Padha Jata Hai Aur Aam Taur Par Log Ise Bojh Samajhte Hain Aur Sharma Sharmi Me Sharik Rehte Hain
SadarushShariah BadarutTariqah Hazrat Allama Amjad Ali Aazmi Farmate Hain
Aam Taur Par Is Zamane Me Jo Shabina Padha Jata Hai Ki Ek Raat Me Pura Qur’Aan Padha Jata Hai
Is Padhne Ki Nauiyat (Tariqa) Ye Hoti Hai Ke Jaldbazi Me Huruf To Huru Alfaz Tak Kha Jate Hain
Qur’Aan e Kareem Ko Sahi Taur Par Nahi Padhte
Aur Samaein (Sunne Wale) Me Koi Leta Hai Koi Chaye Pi Raha Hai Kuch Aysi Haalat Hoti Hai Jiski Wajah Se Ulma Ne Shabina NaJaiz Hone Ka Hukm Diya Hai
📖 Fatawa Amjadiya, Jild 1, Safa 340
Haa’n Agar Koi Sahab Akele Namaz Ya Bagair Namaz Ke Ek Raat Me Ek Ya Is Se Bhi Zyada Qur’Aan Ki Tilawat Kare’n To Kuch Gunah Nahi
Lekin Jama’at Me Zyada Lambi Qirat Ki Ijazat Nahi
Sehri Wa Iftar Ke Mutalliq Kuch Baate’n
Sehri Khana Aur Roze Ki Iftar Karna Sunnat Hai Aur Inme Bada Sawab Aur Khair o Barkat Aur Allah Ki Rehmat Hai
Sehri Me Takhir (Der) Aur Iftar Me Jaldi Karna Sunnat Hai
Lekin Aysi Takhir (Der) Ya Jaldi Na Ki Jaye Ki Roze Me Shak Paida Ho Jaye
Khajur Ya Chhoare Se Iftar Karne Me Sab Se Zyada Sawab Hai
Ye Na Ho To Pani Behtar Hai
Sehri Khana Aur Iftar Karna Sunnat Hai Agar Koi Shakhs Sehri Na Khaye Iftar Bhi Na Kare Ayse Hi Roze Rakh Le Tab Bhi Roza Ho Jayega
Lekin Is Ko Sunnat Ka Sawab Nahi Milega
Safar Wagairah Me Dekha Gaya Hai Ke
Kuch Log Iftar Ke Waqt Khane Pine Ki Chiz Hasil Karne Ke Liye Daudte Bhagte Hain Aur Pareshan Nazar Aate Hain Aur Inke Amal Se Aysa Mehsus Hota Hai Ke Wo Samajhte Hain Ke Agar Iftar Na Kar Sake Ya Iftar Me Takhir (Der) Ho Gayi To Roza Na Hoga Halanke Aysi Koi Pareshan Hone Ki Baat Nahi Hai
Agar Kisi Majburi Ya Pareshani Ki Wajah Se Iftar Na Kar Saka Ya Isme Der Ho Gayi Tab To Koi Pareshan Hone Ki Baat Hi Nahi Hai
BeWajah JanBujh Kar Iftar Na Kare Tab Bhi Roza Kharab Na Hoga
Haa’n Aysa Karna Sunnat Ke Sawab Se Mehrumi Aur Makruh Hak
Haa’n Agar Sunnat Ki Adayegi Ki Wajah Se Wo Iftar Ka Saman Talash Karne Ke Liye Pareshan Hote Hain To Ye Badi Achchi Baat Hai
Iftar Ka Behtar Tariqa Ye Hai Ke
Kuch Khajure’n Kha Le Ya Pani Pi Kar Ya Khane Pine Koi Aur Mamuli Si Chiz Jaldi Kha Pi Kar Magrib Ki Namaz Jama’at Se Ada Ki Jaye
Jo Log Iftar Ke Waqt Khane Pine Me Lage Rehte Hain Aur Sirf Is Wajah Se Magrib Ki Jama’at Chhod Dete Hain
Bajaye Sawab Pane Ke Gunahgar Hote Hain Iftar Itna Hi Hona Chahiye Ki Nama Ki Prhli Takbir Bhi Na Chhutne Paye
Jaha’n Log Gharo Se Iftar Kar Ke Aate Ho’n Waha’n Inke Intezar Me Magrib Ki Jama’at Qaayam Karne Me Mamuli Aur Halki 2, 4 Minat Ki Takhir (Der) Kardi Jaye To Kuch Harj Nahi
Lekin Magrib Ki Namaz Me Itni Takhir Ki Taare Chamakne Lage’n Ye Makruh Hai
➡Kya Dahine Pair Ka Angutha Hatne Se Namaz Nahi Hogi?
Roza Iftar Ki Dua Pehle Padhni Chahiye Ya Baad Me?
Imam e AhleSunnat Sayyidi Sarkar Aala Hazrat Farmate Hain
Iftar Ki Dua Amuman (Aam Taur Par) Qabl Az Iftar (Iftar Se Pehle) Padhne Ka Riwaj Hai
Magar Ye Dua Iftar Ke Baad Padhni Chahiye
📖 Fatawa Razviya Sharif, Jild 1, Safa 13
Jaisa Ke Dua Ke Tarjme Se Saaf Zahir Hai
Iftar Ki Dua:
AllaHumma Laka Sumtu Wa Bika Aamantu Wa Alaika Tawakkaltu Wa’ala Rizqika Aftart°
Tarjma:
Aye Allah Maine Tere Liye Roza Rakha Aur Tujh Par Iman Laya Aur Tujh Par Bharosa Kiya Aur *Tere Diye Hue Rizq Se Iftar Kiya
Note:
Iftar Ke Baad Dua Padhne Se Murad Khajur Kha Kar Ya Pani Pikar Ya Ek Luqma Khar Ya Koi Aur Chiz Kha Pi Kar Dua Padhna Hai,
Agar Koi Shakhs Pehle Padhe To Usko Samjha Diya Jaye Lekin Is Qism Ke Masail Me Aam Logo Ko Bahes o Mubahise Me Nahi Padna Chahiye
➡Kya Janaze Ke Wuzu Se Farz Namaz Nahi Padh Sakte?
Etekaf Ka Bayan
Ramzan Sharif Ke Aakhiri Ashre Me Masjid e Jama’at (Jis Masjid Me Ba’Jama’at Namaz Ada Ki Jati Ho) Me Etekaf Ki Niyat Se Thaherna Sunnat e MuAkkida Kifaya Hai
Agar Muhalle Basti Ka Ek Shakhs Ada Kare To Sabke Zimme Se Utar Jayega Aur Koi Na Kare To Sab Taarik e Sunnat Hue
20 Tarikh Ko Suraj Dubne Se Kuch Pehle Masjid Me Pahunch Jaye
Aur Phir 29 Ko Chand Dekh Kar Ya 30 Ko Suraj Dubne Ke Baad Masjid Se Bahar Aaye
Jo Etekaf Kare Uske Liye In Dino Me Har Waqt Masjid Me Hi Rehna Zaruri Hai
Pakhana, Peshab, Gusal Farz Hone Ki Haalat Me Ya Dusri Masjid Me Juma Padhne Ke Liye Jabke Is Masjid Me Juma Na Hota Ho Masjid Se Bahar Ja Sakta Hai
Is Qism Ki Sharayi Ya Tabayi Zarurato’n Ke Bagair Baahar Aane Se Etekaf Tut Jayega
SadarushShariah Allama Amjad Ali Ne Likha Hai Ke
Fana e Masjid Yani Masjid Ke Andar Ki Wo Jagah Jo Namaz Ke Alawa Dusre Kaamo Ke Liye Banayi Gayi Hai
Jaise Gusal’Khana Jute Chappal Utarne Ki Jagah Aysi Jagho’n Me Aane Se Etekaf Nahi Tut’ta
📖 Fatawa Amjadiya, Jild 1, Safa 399
Faqih e Millat Hazrat Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi Ne Bhi Yahi Likha Hai
📖 Fatawa FaizurRasul, Jild 1, Safa 535
Etekaf Me Baithne Wala Masjid Ke Andar Zikr o Tilawat, Nafil Namaz, Durud Sharif Wagairah Me Mashgul Rahe
Deeni Islami Kitabo’n Ka Mutala, Deeni Baate’n Seekhna Sikhana, Padhna Padhana Bhi Behtarin Ibadat Hai
Aur Motakif Ke Liye Ye Sab Jaiz Hai
Duniyawi Baate’n Karne Se Bhi Etekaf Nahi Tut’ta
Lekin Zyada Duniyawi Baate’n Karne Se Etekaf BeNoor Ho Jata Hai Aur Sawab Me Kami Hoti Hai
Kuch Log Etekaf Me Khamosh Aur Chup Chap Baithe Rehte Hain Aur Isi BeMaqsad Chup Rehne Ko Ibadat Aur Sawab Ka Kaam Samajhte Hajn
Ye Unki Galat Fehmi Hai
Etekaf Me Chup Rehna Bhi Jai Hai
Lekin Sirf Usko Ibadat o Sawab Samajhna Jehat o BeWaqufi Hai
Motakif Ke Liye Masjid Me Khana Pina, Letna Baithana Aur Sona Jaiz Hai
➡ Agar Bachche Mardo’n Ki Saf Me Khade Ho’n To Kya Hukm Hai?
➡ Kya Dadhi Mundane Wala Shakhs Azan Keh Sakta Hai?
Shab e Qadr Ka Bayan
Shab e Qadr Badi Fazilat Wali Raat Hai
Qur’Aan e Kareem Me Is Ek Raat Ki Ibadat Ko 1000 Mahino Ko Inadat Se Badh Kar Bataya Gaya Hai
Zyada Sahi Baat Ye Hai Ke
Ramzan Sharif Ke Aakhiri 10 Dino Me 21, 23, 25, 27, 29wi Raato’n Me Wo Ek Raat Hoti Hai
Lehaza Shab e Qadr Ki Fazilat Hasil Karne Ke Liye Kaafi Musalman Bhai In Saari Raato’n Me Raat Bhar Ibadat Karte Hain
Is Raat Me Khub Zikr o Tilawat Kare’n Aur Nafil Namaz Ada Kare’n Aur Agar Farz Aur Wajib Namazo’n Ki Qaza Zimme Ho To Nafil Ki Jagah Un Farz Aur Wajib Namazo’n Ki Qaza Padhe’n
➡BareeDupatta Ya Tehband Me Namaz Ka Hukm?
➡ Sajde Me Jaate Waqt Tehband Ya Paijama Wagairah Uthana Kaisa Hai?
Alwida Ka Bayan
JumAtul’Wada Ramzan Sharif Ke Aakhiri Jume Ko Kehne Lage Hain
Ye Koi Islami Teohar Nahi Hai
Ramzan Ke Aur Jumo Ki Tarah Ye Bhi Sirf Ek Juma Hai
Qur’Aan o Hadis Me Iski Alag Se Koi Khususiyat Ya Fazilat Nahi Aayi Hai
Jaisa Ke Ye Ramzan Sharif Ka Aakhiti Juma Hai, Alwida Ke Mana Rukhsati Ke Hain Yani Ab Ramzan K Mahima Rukhsat Hone Wala Hai
Is Liye Isko Jumatu’Wada Kehne Lage
Aaj Ke Halat Ko Samne Rakhte Hue Ye Behtar Hai Ke Is Din Aysa Koi Kaam Ya Aysi Koi Baat Na Ki Jaye Jis Se Log Is Jume Alag Se Koi Khususiyat Samjhe’n
Aala Hazrat Imam e AhleSunnat Ne Bhi
Fatawa Razviya Jadid, Jild 8, Safa 446 Par Yahi Likha Hai
Alwida Na Keh Kar Isko Sirf Juma Ka Naam Hi Diya Jaye To Zyada Behtar Hai
📖 Ramzan Ka Tohfa
Ummid Hai Aapko Tamam Baate’n BaKhubi Samajh Aayi Hongi Agar Kuch Samajh Na Aaya Ho Ya Kisi Mas’ale Me Koi Shak o Shubha Ho To Hume Comments Kar Ke Zarur Aagah Farmaye’n Ya Phir Kisi Sunni Sahihul Aqida Maslak e Aala Hazrat Ke Paband Aalim e Deen Se Rabta Kare’n,
➡Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Ek Nazar Me