Home / Fiqah / Roza / Ramzan Sharif Ke 22 Zaruri Aur Naye Masail

Ramzan Sharif Ke 22 Zaruri Aur Naye Masail

Ramzan Sharif Ke 22 Zaruri Aur Naye Masail

☞Ramzan Ki Mukammal Maloomat (Fazail o Masail)

☞Ramzan Ki Fazilat Qur’Aan o Hadis Ki Raushni Me

 

❶ iftar Ki Dua Iftar Karne Ke Baad Padhna Sunnat Hai Iftar Se Pehle Nahi

📚 Fatawa Razviya, Jild 4, Safa 651

❷ Roze Ki Haalat Me Gul Karne Se Roza Toot Jata Hai.
Manjan Aur Toothpaste Ke Baarek Ajza (Hisse) Agar Halaq Se Niche Utar Gaye To Roza Toot Jayega Aur Nahi Utre To Nahi Totega
AlBatta Aysi Chizo’n Ka Muh Me Rakhna Roze Ko Makruh Kar Dega
📚 Fatawa Behrul-Uloom, Jild 2, Safa 276

❸ Roze Ki Haalat Me Anaar Aur Baans Ki Lakdi Ke Alawa Har Kadwi Lakdi Ki Hi Miswak Behtar Hai
📚 Durre Mukhtar, Jild 1, Safa 235

❹ Glucose, Drip, Taqat Ke Injection Lagwane Se Roza Nahi Tootega Chahe Inki Wajah Se Bhukh Pyas Khatm Ho Jaye, Haa’n Agar Bhukh Pyas Se Bachne Ke Liye Aysa Kare To Makruh Hai
📚 Mustafad Az Fatawa Hindiya, Jild 1, Safa 203

❺ Roze Ki Haalat Me Aankh Me Dawa Dalne Se Roza Nahi Tootega
📚 Mustafad Az Fatawa Shami, Jild 2, Safa 395

☞Kya Razmzanul Mubarak Ki Raato’n Me Biwi Se Humbistari Karna Jaiz Nahi?

 

❻ Bagair Sehri Ke Roza Rakhna Jaiz Hai Magar BeWajah Sehri Chhodni Nahi Chahiye Ke Sunnat Hai
📚 Fatawa FaizurRasool, Jild 1, Safa 513

❼ Roze Ki Haalat Me itr Lagana, Phul Sunghna, Surma Lagana, Tel Lagana, Baal Katwana, Mue Zere Naaf Saaf Karna, Baam Lagana, Vaseline Ya Cream Lagana, Tel Ki Malish Karna Ye Sab Jaiz Hain In Sab Chizo’n Se Roza Nahi TootTa
📚 Fatawa Markazi Darul-Ifta Bareilly Sharif, Safa 358

❽ Suraj Dubne Ke Baad BilTakhir (Der Kiye Bina) Fauran Iftar Kare’n Azan Ka Intezar Na Kare’n
📚 Fatawa FaizurRasool, Jild 1, Safa 514

❾ Mah e Ramzan Ki Raato’n Me Biwi Se Humbistari Karna Jaiz Hai
📚 Al-QurAan, Para 2, Surah Baqr, Aayat No. 187, Ruku 7

❿ Roza Rakhne Ke Liye Haiz (Period) Wali Aurat Agar Tablet Ka Istemal Kare To Uska Roza Sahi Hai,
AlBatta Iska Ye Kaam Jaiz Nahi Ke Is Se Bahut Si Bimariyo’n Ke Paida Hone Ka Andesha Hai
📚 Mustafad Az Hidaya Awwalin Safa 63

☞Mushkil Kusha. 16 Saiyyado’n Aur RootBoot Ke Roze Ka Hukm

 

⑪ Roze Ki Haalat Me Gusl Karne Ya Ehtilam Se Roza Nahi TootTa
📚 Bahar e ShariAt

⑫ Eidul-Fitr, Eidul-Adha Aur Ayyam e Tashriq 11, 12, 13 ZilHijjah Ko Roza Rakhna Haraam Hai
📚 Bahar e ShariAt, Hissa 5, Safa 142

⑬ Jo Shakhs Roza Na Rakhe Us Par Bhi Sadqa e Fitr Wajib Hai, Kyun Ke Sadqa e Fitr Ke Wajib Hone Ke Liye Roza Rakhna Shart Nahi
📚 Fatawa Shami, Jild 2, Safa 76

⑭ Ada e Ramzan Ka Roza Aur Nazr e MuAyyan Aur Nafli Roze Ki Niyat Raat Se Karna Zaruri Nahi Agar Zahwe-Kubra Yani Dopahar Se Pehle Niyat Karli Tab Bhi Ye Roze Ho Jayenge Aur In Teeno’n Rozo’n Ke Alawa Qaza e Ramzan, Nazr e GairMuAyyan Aur Nafl Ki Qaza Ki Qaza Wagairah Rozo’n Ki Niyat Aen Ujala Shuru Hone Ke Waqt Ya Raat Me Karna Zaruri Hai Inme Se Kisi Roze Ki Niyat Agar 10 Baje Din Me Ki To Wo Roza Na Hua
📚 Fatawa AalamGiri, Jild 1, Safa 138

⑮ Haalat e Janabat (Gusl Farz Hone Ki Haalat Me) Bhi Roza Durust Hai, Is Se Roze Me Koi Nuqa o Khala Nahi Aayega Ke Charo Ayimma Ka Ijma Hai Ke Rozo’n Ke Liye Taharat Shart Nahi Hai
AlBatta Wo Shakhs Namaze’n Qasdan Chhodne Ke Sabab Ashad Gunah e Kabira Ka Murtakib Hoga
📚 Fatawa Razviya Sharif, Jild 4, Safa 615

☞Asr Ka Roza Kya Hai Aur Isko Rakhna Kaisa Hai?

 

16, Roze Ki Haalat Me MushtZani (Hath Se Mani Nikalne) Me Jab Tak Mani Na Nikle Roza Nahi Tootega, Lekin Ye Kaam Shakht Haraam Hai Aur Hadis e Paak Me Ise MalUoon Faramaya Gaya
📚 Bahar e ShariAt, Jild 5, Safa 986

17, Bachche Ko Doodh Pilane Se Roza Nahi Tootega
AlBatta Agar Doodh Pilane Ke Sabab Apni Ya Bachche Ki Jaan Ya Phir Kisi Marz Me Lahiq Hone Ka Khatra Ho To Doodh Pilane Wali Aurat Roza Chhod Sakti Hai Jab Ye Uzr Khatm Ho Jaye To Baad Ke Dino Me Chhute Hue Rozo’n Ka Rakhna Farz Hai
📚 Bahar e ShariAt

18, Roza Rakhne Ke Dauran Haiz (Period) Aane Se Roza Toot Jayega, Baad Me Rozo Ki Qaza Rakhna Farz Hai Aur Namaz Muaf Hai Yani In Dino Me Qaza Hui Namaze’n Nahi Padhi Jayengi
📚 Durre Mukhtar

19, Hukka, Bidi, Cigarette, Sigaar, Paan, Tambaku Wagairah Pine Se Roza Toot Jayega Chahe Paan Aur Tambaku Ki Peek Thuk Di Ho
📚 Bahar e ShariAt, Jild 5, Safa 96

20, Agar Hawai Jahaz (Airplane) Se Safar Kar Raha Hai To Jab Tak Suraj Gurub Na Ho Roza Iftar Na Kare Chahe Us Shahar Me Iftar Ka Waqt Hi Kyun Na Ho Gaya Ho Jis Par Se Iska Guzar Ho Raha Hai Is Liye Ke Safar Karne Wale Ko Abhi Suraj Nazar Aa Raha Hai Lehaza Iske Haq Me Abhi Iftar Ka Waqt Nahi Hua
📚 Fatawa Faqih e Millat, Jild 1, Safa 340

21, Khoon Nikalwane, Oxygen Lagwane, Zakhm Par Patti Ya Bandage Lagane Se Roza Nahi Tootega,
Inhaler Lene Se Roza Toot Jayega
📚 Mustafad Kutub e Fiqah

22, Kaan Me Dawa Ya Tel Dalne Se Roza Toot Jayega
📚 Fatawa Mufti e Aazam Hind, Bahar e ShariAt Wa Qaul-e-TajushShariAh

Aur Baaz Ulma Ka Qaul Hai Ke Kaan Me Dawa Dalne Se Roza Nahi Tootega

Lekin Kaan Me Dawa Ya Tel Dala Jiski Wajah Se Dimag Tak Uske Pahuchne Ka Ehsas Hua To Bil-ittifaq Roza Toot Jayega, Isme Kisi Ka Ikhtilaf Nahi Hai
📚 Majlis e Sharai Ke Faisle, Safa 283

Lehaza Ehtiyat Isi Me Hai Ke Roze Ki Haalat Kaan Me Dawa Na Dali Jaye

 

☞☛Namaz e Eid Ka Mukammal Tariqa Aur Zaruri Masail

☞Eid-ul-Adha Ke Fazail Aur Sunnate’n

☞QurBani Wajib Hone Ke Liye Kitna Maal Hona Chahiye?

☞Qurbani Ka Mukammal Tariqa. Dua. Aur Qurbani Me Kitni Rage’n Katni Chahiye?

Leave a Reply