☞ Ramazan Sharif Ki Tamam Tehrire, Fazail o Masail Yaha Click Kar Ke Padhe’n
Suwal: Saal Me Kitne Din Roza Rakhna Haram Hai ?
Jawab: Pure Saal Me Panch (5) Din Roze Rakhna Haram Hai Ek (1) Roza Eidul-Fitr Ke Din Ka Aur Ek (1) Baqar Eid (Eidul-Adha) Ke Din Ka Aur Uske Baad Ke Teen (3) Din Tak Roze Rakhna Haram Hai.
Hadis Sharif Me Hai Ke:
” قال رسول الله صلی اللّٰه تعالى عليه وسلم و یوم النحر وایام التشریق عیدنا اھل الاسلام و ھی ایام اکل وشرب ” اھ ‘
📗 Tirmizi Sharif, Jild 1, Safa 281
Aur Bahar e ShariAt Me Hai Ke:
Ayyam e Manhiyya Yani Eid o Baqar Eid Aur Zil-Hijjah Ki 11vi, 12vi, 13vi Ke Roze Hain.
📗 Bahar e ShariAt, Jild 1, Safa 1015
Aur Hazrat Allama Qazi ShamshudDeen Ahmad Jaunpuri AlaihirRehma Apni MashHoor e Zamana Kitab Qanoon e ShariAt Me Tehrir Farmate Hain Ke:
Eid Ke Din Ka Roza Makrooh e Tehrimi Hai Aur Isi Tarah Baqar Eid Ke Din Ka Roza Aur Iske Baad 11, 12, 13 Tarikh Ka
📗 Qanoon e ShariAt, Hissa 1, Safa 164
𔕄 Hazrat Allama Maulana Kareemullah Razvi Mumbai