Home / Fiqah / Namaz / Sajde Me Jate Waqt Tehband Ya Paijama Wagairah Uthana Kaisa Hai?

Sajde Me Jate Waqt Tehband Ya Paijama Wagairah Uthana Kaisa Hai?

Suwal ?

Sajde Me Jate Waqt Tehband Ya Paijama Wagairah Uthana Kaisa Hai?

Jawab !

Faqih e Aazam e Hind Huzur SadarushShariat Rehmatullah,

Makroohat e Tehrimiya (Makruh e Tehrimi Ki Jama) Ke Bayan Me Likhte Hain,
Kapda Sametna Maslan Sajde Me Jate Waqt Aage Ya Piche Se Utha Lena Chahe Gard (Dhool) Bachane Ke Liye Kiya Ho Aur Bila Wajah Ho To Aur Zyada Makrooh Hai,
>Bahare Shariat Hissa 3 Safa 125,

Aur Fatawa Aalamgiri (Khainiya) Jild 1 Safa 105 Par Hai.
یکرہ للمصلی ان یرفع ثوبه من بین یدیه او من خلفه اذا ارادالسجود و کذا فی معراج الدرایۃ اھ ٬ ملخصاً

*Ye Amal Makruh e Tehrimi Hai Namaz Ka Dohrana Zaruri Hai Namaz Nahi Hogi

Leave a Reply