Home / Fiqah / Mutafarriq' Masail / Shariat Me Patakhe Jalana, Kharidna Aur Bechna Kaisa Hai?

Shariat Me Patakhe Jalana, Kharidna Aur Bechna Kaisa Hai?

Shariat Me Patakhe Crackers Fireworks Jalana Kharidna Bechna Kaisa Hai?

Shariat Me Patakhe Jalana, Kharidna Aur Bechna Kaisa Hai?

Suwal ?

Aatishbazi (Fireworks) Karna Patakhe (Crackers) Jalane, Kharidne, Bechne, Wagairah Ka Shariat Me Kya Hukm Hai Aur Isko Kisne Eijad Kiya?

➡️ Kya Namaz e Juma Ki Qaza Hai?

Jawab !

Hakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Apni Kitab IslamiZindgi Me Likhte Hain
Aatishbazi (Fireworks) Ke Baare Me Mash’hoor Ye Hai Ke Namrood Kafir Badshah Ne Eijad Ki.
Usne Hazrat e Ibrahim Khalilullah Ko Aag Me Dala Aur Aag Gulzar Ho Gayi To Uske Aadmiyo Ne Aag Ke Anar Bhar Kar Unme Aag Laga Kar Hazrat e Ibrahim Khalilullah Ki Taraf Phenke

Aur Farmate Hain: Aatishbazi (Patakhe/Fireworks/Crackers) Ka Banana, Iska Bechna, Iska Kharidna Aur (Bachcho Ko) Kharidwana, Iska Chalana Ya Chalwana (Phodna) Sab Haraam Hai
📖 Islami Zindgi. Safa 77/78

➡️ Quiz: Anguthi, Chhalle, Taweez Aur Dore Wagairah

Mere Aaqa Aala Hazrat Imam e AhleSunnat Imam Ahmad Raza Se Is Bare Me Pucha Gaya To Farmaya:

Aatishbazi (Patakhe/Phuljadi Wagairah Jalana) Jis Tarah Shadiyo’n Wagairah Me Raej Hai BeShak Haraam Aur Pura Jurm Hai Ke Isme Maal Ki Barbadi Hai
📖 Fatawa Razviya. Jild 23. Safa 279

Musalmano Ka Lakho’n Rupya Har Saal Is Rasm Me Barbad Ho Jata Hai Aur Har Saal Khabre’n Aati Hain Ke Fula’n Jagah Ke Itne Ghar Aatishbazi Me Jal Gaye Aur Itne Aadmi Jal Kar Mar Gaye

Isme Jaan Ka Khatra Maal Ki Barbadi Aur Makano’n Karobar Me Aag Lagne Ka Andesha Hai
Aur Apne Maal Me Apne Hath Se Aag Lagana Aur Phir Khuda Ta’Aala Ki Nafarmani Ka Wabal Apne Sar Dalna Hai
Khuda Ke Liye Is Behooda Aur Haraam Kaam Se Bacho Apne Bachcho’n Aur Rishtedaro’n Ko Roko  Jaha’n Aawara Log Ya Bachche Ye Khel Khel Rahe Ho’n Wo Tamasha Dekhne Ke Liye Bhi Na Jao

Jo Log Patakhe Wagairah Me Apna Paisa Barbad Karte Hain Wo Shaitano’n Ke Bhai Hain. Ji Haa’n
Ye Kisi Ke Ghar Ki Baat Nahi Rabb e Akbar Ka Farmaan Hai.
Aye Musalman! Tera Rab Apne Kalaam Me Tujh Se Farma Raha Hai.
Para 15. Surah Bani Israeel. Aayat No. 26/27

وَلَا تُبَذِّرۡ تَبۡذِيرًا إِنَّ ٱلۡمُبَذِّرِينَ كَانُوٓاْ إِخۡوَٰنَ ٱلشَّيَٰطِينِۖ وَكَانَ ٱلشَّيۡطَٰنُ لِرَبِّهِۦ كَفُورٗا

Tarjma: Aur Fizul Na Udao BeShak Fizul Udane Wale Shaitano’n Ke Bhai Hain Aur Shaitan Apne Rab Ka Bada NaShukra Hai.

➡️ Tanbe, Peetal Aur Lohe Wagairah Ke Zewar Pahen Kar Namaz Padhna Kaisa Hai?

Tumhare Nabi Ahmad e Mujhtaba Muhammad Mustafa Farmate Hain:

Jo Kisi Qaum Ki Mushabahat Kare (Yani Unke Jaisa Bhes Apnaye Ya Unke Jaise Kaam Kare) Wo Unhi Me Se Hai

Musalman Ki Kab Ye Shan Hai Ke Wo Apna Waqt, Maal Wagairah Ko Ayse Fizul Kaamo’n Me Barbad Kare?
Khudara Apne Haal Par Raham Karo Aur Ayse Shaitani Kaamo’n Se Khud Ko Aur Apni Aal  Aulad Ko Bachao

Ye Bahane Mat Banao Ke Bachche Ne Zid Ki To Patakhe Dilwa Diye Warna Bachche Royenge
Bachche Rote Hain To Rone Do Kitna Royenge Duniya Ka Rona Aakhirat Ke Rone Se Karodo Darje Achcha Hai

Aaj Tum Ko Apne Bachche Ke Rone Par Raham Aa Jata Hai Aur Uski Har Khwahish Puri Karte Ho Chahe Shariat Me Wo Kaam Haraam Hi Kyun Na Ho
Tumhara Yahi Beta, Beti Isi Tarah Patakhe Aur Kafiro’n Ke Tariqo’n Par Chal Chal Kar Gunah Karta Raha Aur Tumhari Di Hui Buri Talim Par Chal Kar Apne Rab Ka NaFarmaan Ho Kar Baroz e Qayamat Mujrimo’n Ki Saf Me Khada Ho Gaya Aur Use Dozakh Me Jane Ka Hukm Suna Diya Gaya Tab Tum Apne Is Lakht e Jigar Ka Rona Dekh Sakoge? Are Waha’n Tumhari Ek Na Chalegi
Bachche Chhote Hain Keh Kar Baat Mat Taalo
Abhi Se Unki Jaisi Tarbiyat Karoge Bade Ho Kar Waise Hi Banenge
Abhi Se Unko Ye Baat Sikhao Ke Hum Musalman Hain Humara Ye Kaam Nahi

Ye Allah Paak Aur Uske Rasool Ka Hum Hai Jis Se Musalman Kabhi Muh Nahi Pherega

فَلَا وَرَبِّكَ لَا يُؤۡمِنُونَ حَتَّىٰ يُحَكِّمُوكَ فِيمَا شَجَرَ بَيۡنَهُمۡ ثُمَّ لَا يَجِدُواْ فِيٓ أَنفُسِهِمۡ حَرَجٗا مِّمَّا
  قَضَيۡتَ وَيُسَلِّمُواْ تَسۡلِيمٗا

Tarjma: To Aye Mehbub! Tumhare Rab Ki Qasam Wo Musalman Na Honge Jab Tak Apne Aapas Ke Jhagdo’n Me Tumhe Hakim Na Bana Le’n Phir Jo Kuch Tum Hukm Farma Do Apne Dilo’n Me Us Se Rukawat Na Paye’n Aur Ji Se (Sachche Dil Se) Maan Le’n
📖 Para 5. Surah Nisa. Aayat No. 65

Be Iman Ko Jab Nasihat Ki Jati Hai To Usko Gunah Ki Zyada Zid Chadhti Hai Aur Gusse Me Aakar Aur Zyada Gunah Karta Hai

Tumahar Rab Farmata Hai:

وَإِذَا قِيلَ لَهُ ٱتَّقِ ٱللَّهَ أَخَذَتۡهُ ٱلۡعِزَّةُ بِٱلۡإِثۡمِۚ فَحَسۡبُهُۥ جَهَنَّمُۖ وَلَبِئۡسَ ٱلۡمِهَادُ

Tarjma: Aur Jab Us Se Kaha Jaye Allah Se Dar! To Use Aur Zid Chadhe Gunah Ki Ause Ko Dozakh Kafi Hai Aur Wo Zarur Bahut Bura Thikana Hai
📖 Para 2. Surah Bakar. Aayat 206

➡️ Nakhuno’n Par Nailpolish Laga Kar Nahane Se Paak Honge Ya Nahi?

Ye Ilzam Bhi Na Lagana Ke Aysi Baate’n Kar Ke Desh Me Qaumwad Phailate Ho. Nahi Nahi Hum To Sirf  Musalmano’n Ko Samjhate Hain GairMuslimo’n Ko Jo Karna Hai Kare’n

Rab Farmata Hai Ke Tum Keh Do:
لكم دينكم ولي دين

Tarjma: Tum Tumhare Deen Ko Sambhalo Aur Humare Liye Humara Deen Kaafi Hai
📖 Para 30. Surah Kafiroon. Aayat No. 6

Ye Baate’n Kisi GairMuslim Ke Liye Nahi Balki Ye To Muhammad Mustafa Ke Gulamo’n Ke Liye Hai Jo Un Par Iman Rakhte Hain Unka Kalma Padhte Hain Unka Naam Sun Kar Anguthe Chumte Hain Aur Unke Farman Par Apni Gardne Jhuka Dete Hain Aur Unki Shan Par Namoos Par Apni Gardane Kata Dete Hain…

➡️ Kya Gusl Ke Waqt Kalma Na Padhne Se Paak Nahi Hote?

🖋️ Hume Apne Likhe Mazamin (Articles) Bhejne Ke Liye Click Kare’n

Leave a Reply