Home / Fiqah / Shauhar Kitni Muddat Tak Apni Biwi Se Door Reh Sakta Hai?

Shauhar Kitni Muddat Tak Apni Biwi Se Door Reh Sakta Hai?

Shauhar Biwi Se Kitni Muddat Tak Door Reh Sakta Hai?

Shauhar Kitni Muddat Tak Apni Biwi Se Door Reh Sakta Hai?

 

Is Baare Me BitTasreeh Koi Juziya Meri Nazar Se Nahi Guzra AlBatta MasAla e Jima (Humbistari) Se Iska Hukm Zahir Hota Hai Ke SharAn Ek Martaba Jima (Humbistari) Karne Se Biwi Ka Haq Saqit Ho Jata Hai Aur Kabhi Kabhi Dayanatan Wajib Hai.

Hazrat SadruShariAh Ne Farmaya Ke Ek Martaba Jima Qaza e Wajib Hai Aur Dayanatan Ye Hukm Hai Ke Gahe Gahe Karta Rahe Aur Iske Liye Koi Had Muqarrar Nahi Magar Itna To Ho Ke Aurat Ki Nazar Auro’n Ki Taraf Na Uthe

📚 Bahar e ShariAt, Jild 7, Safa 85

☞ Talaq Wali Aurat Ki Iddat Ka Sahi Waqt Kya Hai?

Aur Eila ((Shauhar Ka Ye Qasam Khana Ke Biwi Se Jima Na Karega Ya Char Mahine Jima Na Karega)) Ki Muddat Tak Na Phuche Aur Iski Taeed Hazrat Sayyiduna Umar Faruq e Aazam Ke Amal Se Hoti Hai Ke Aapne Raat Me Ek Aurat Ko Sher Padhte Suna Mutassir Hue Aur Hazrat Ummul Mominin Hafsah Se Suwal Farmaya Ke Aurat Kitni Muddat (Waqt/Time) Tak Mard Se Alaihda (Alag/Juda) Reh Sakti Hai? Aapne Farmaya Char Mahine, To Hazrat Faruq e Aazam Ne Apni Hukumat Me Ye Hukm Jaari Farma Diya Ke Jo Shakhs Biwi Bachcho’n Se Alaihda Jihad Wagairah Umoor (Kamo’n) Ke Anjam Dene Me Masroof Hai Wo Char Mahine Se Zayad (Zyada) Na Rahe Use Char Maah Ke Baad Chhutti De Di Jaye.

Aur Ye Sab Is Surat Me Hai Ke Aurat Ki Raza o Ijazat Na Ho Warna Uski Ijazat Se Zayad Muddat Tak Reh Sakta Hai..

 

📚 Durr e Mukhtar Me Hai,

ویسقط حقھا مرۃ و یجب دیانۃ احیانا ولا یبلغ مدۃالایلاء الابرضاھا۔

📚 Raddul’Mohtar Me FathulQadeer Se Hai,

ویجب ان لا یبلغ به مدۃالایلاء الابرضاھا و طیب نفسھا۔

📚 Tahawi AladDurar Me Hai,

صرح اصحابنا بان جماعھا احیانا واجب دیانۃ لکن لا یدخل تحت القضاء والالزام الاالوطاۃ الا ولی ولم یقدر والفیه مدۃ و یجب انه لا یبلغ مدۃالایلاء الابرضاھا و طیب نفسھا اه قال فی النھر وفی ھذا الکلام تصریح بأن الجماع بعد المرۃالاولی حقه لا حقھا و المولیٰ تعالیٰ اعلم۔

 

(Hazrat) Qazi AbduRaheem Bastawi

 

📚 Dawat e ShariAt, Safa 81/82

☞ Gharo’n Par Namaz Ada Karne Ka Mukammal Tariqa Aur Zaruri Masail

Aur Ulma e Kiram Farmate Hain Ke Char Maah Tak Agar Shauhar Aurat Ka Haq Ada Na Kare To Aurat Ko Haq Hasil Hai Ke Wo Khula Ka Mutalba Kare ((Maal Ke Badle Me Nikah Khatm Karne Ko Khula Kehte Hain)) Ye Is Surat Me Hai Jab Aurat Razi Na Ho.

Is Liye Shauhar Ko Chahiye Ke Wo Aurat Ko Razi Rakhe Aur Ho Sake To Kam Az Kam Saal Me Zarur Apne Ghar Ka Chakkar Lagaye, Agar Mumkin Ho To Aurat Ko Apne Sath Hi Rakhe.

☞ Peer Sahab Se Parda Karna Chahiye Ya Nahi?

Baahami (Aapsi) Razamandi Se Agar Zyada Waqt Door Reh Sakte Hain To Isme Koi Harj Nahi Lekin Agar Fitne Ka Khauf Ho To Phir Razamandi Bhi BeFayda Hai, Kyun Ko Zyada Arsa (Muddat) Tak Ghar Wapas Na Aana Bahut Se Nuqsanat Ka Bais (Sabab/Wajah) Ban Sakta Hai

(Hazrat Maulana Karemullah Razvi Shb, Darul’Uloom Makhdumiya, Mumbai)

 

واللہ تعالیٰ ورسولہ اعلم ﷻ/ﷺ

 

Muhammad Rafi Raza Qadri, Bareilly Sharif

☞ Aurato’n Ko Janwar Zibah Karna Kaisa Hai?

☞ Biwi Ke Sath Humbistari Se Pahle Bismillah Padhna Kaisa Hai?

☞ Tanbe Peetal Aur Lohe Ke Zewar Pahen Kar Namaz Padhna Kaisa Hai?

 

Leave a Reply