Talaq Wali Aurat Ki Iddat 3 Mahine 13 Din Sahi Hai Ya Galat?
➡ Aurat Ke Inteqal Ke Baad Shauhar Dekh Sakta Hai Ya Nahi?
Galat Fehmi
Awaam Me Ye Mash’hoor Hai Ke
Talaq Wali Aurat Ki Iddat 3 Mahine 13 Din Hain.
Ye Awaam Ki Galat Fehmi
Aur Bilkul Be Buniyad Hai.
Jiski Shariat Me Koi Asl Nahi.
➡ Biwi Ke Sath Humbistari Se Pehle Bismillah Padhna Kaisa Hai?
Sahi Mas’ala
Sahi Mas’ala Ye Hai Ke
Agar Talaq Wali Aurat Hamila (Pregnant) Na Ho To Baad Talaq Uski Iddat 3 Haiz (Maahwari/M.C) Hain
Chahe Ye 3 Haiz (M.C) 3 Mahine Me Aaye Ya 3 Saal Me Ya Is Se Zyada Me.
Rabb e Kaynat Ka Irshad Hai. Para 2 Ruku 12
والمطلقٰت یتربصن بانفسھن ثلاثه قروع
Yani Talaq Waliya’n Apni Jaano’n Ko Roke Rahe’n 3 Haiz Tak. Tarjma Kanzul’iman
Haa’n Aurat Agar 55/Saal Ki Ho Gayi Ho Haiz (M.C) Aana Band Ho Gaya Ho. Ya Abhi Shuru Hi Nahi Hua Ho Ya Kisi Bimari Ki Wajah Se Kabhi Haiz Aaya Hi Nahi Ho. To Uski Iddat 3 Mahine Hai
Aur Hamila (Pregnant) Ki Iddat Waza e Hamal Hai Yani Bachcha Paida Ho Jaye
📖 Fatwa FaizurRasul Jild 2 Safa 292
Is Website Ko Aage Badhane, Website Ko Ads/Ishtehar Se Paak Karne Aur Mazeed Deeni Kaam Me Humari Madad Karne Ke Liye Donate Button Par Click Kar Ke Imdad Farmaye’n.
جزاکم اللہ احسنا لجزاء 🌹
➡ Tanbe Peetal Aur Lohe Ke Zewar Pahen Kar Namaz Padhna Kaisa Hai?
➡ Nakhuno’n Par Nailpolish Laga Kar Nahane Se Paak Honge Ya Nahi?
Salam. Talaq ki iddat ktni hti ha?agr larki job kr rh ha to us ka bare me detail me bta dijya?mery shohar ny talaq ka paper ek mnth phly bnwa lia th or mujhy bad me dia TCS ka zarya to iddat kb sy shru huge?