Home / Quiz / Ambiya / Tehqiq e Raza Tarikh e Wiladat o Wisal e Mustafa ﷺ

Tehqiq e Raza Tarikh e Wiladat o Wisal e Mustafa ﷺ

Tehqiq e Raza Wiladat o Wisal e Mustafa,

Mulke Sukhan Ki Shahi Tumko Raza Musallam,
Jis Samt Aa Gaye Ho Sikke Bitha Diye Hain,

(Huzur Ki Wafat e Zahiri Ki Tehqiq e Aneeq)

Urdu Me Padhne Ke Liye Yaha’n Click Kare’n

Assalamu Alaikum Wa Rehmatullah..

Suwal..?

Kya Eid e Meelad Ki Tareekh (12 Rabiul’Awwal) Hi Huzur Ka Wisal o Wiladat Hai ?

Agar Dono Ek Hi Din Hue To Sirf Meelad Kyun Manaya Jaye ?

Agar Nahi To Wisal Kab Hua Tha ?

Jawab..!

Wa Alaikumussalamu Wa Rehmatullah,

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Fazil e Barelvi Se
Huzur PurNoor Ki Wiladat o Wisal Ke Mutalliq Suwal Kiya Gaya
Uske Jawab Me Aala Hazrat Ne Ek Risala Tehrir Farmaya Jiska Naam
«نطق الہلال بارخ ولاد الحبیب والوصال»
(Yani Habib e Khuda Ki Tarikh e Wiladat o Wisal Par Shahadat e Hilal) Rakha,
Ye Risala Fatawa Razviya Sharif Jild 26 Safhat 405 Se 428 Me Bhi Shamil Hai.

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Tarikh e Wiladat Ke Mutalliq Tehrir Farmate Hain..

Isme Aqwal Bahut Mukhtalif Hain.
Do (2) Aath (8) Das (10) Barah (12) Satrah (17) Atharah (18) Bais (22),

Saat (7) Qaul Hain Magar Ash’har o Aksar o Makhuz o Motabar 12vi Hai.

Makka Muazzama Me Hamesha Isi Tarikh Ko Makan e Maulid e Aqdas Ki Zeyarat Karte Hain
کما فی المواھب والمدارج
(Jaisa Ke Mawahib Aur Madarij Me Hai)
Aur Khas is Makan e Jannat Nishan Me Isi Tarikh Ko Majlis e Meelad e Muqaddas Hoti Hai.

Allama Qustalani Wa Fazil e Zarkqani Farmate Hain

اَلْمَشھُوْرُ اَنَّہ صَلَّی اللہُ تَعَالیٰ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ وُلِدَ یَوْمَ الِاثْنَیْنِ ثَانِیَ عَشَرَ رَبِیْعِ الْاَوَّلِ وَھُوَ قَوْلُ مُحَمَّدِ بْنِ اِسْحَاقِ اِمَامِ الْمَغَازِیْ وَغَیْرِہ (شرح الزرقانی علی المواہب الدنیۃ المقصد الاول ذکر تزوج عبد اللہ آمنۃ دار المعرفۃ بیروت1/132)

Tarjma..

(Mash’hoor Ye Hai Ke Huzur 12 Rabiul’Awwal Baroz Peer Paida Hue
Imamul’Mgazi Muhammad Bin IsHaq Ka Yahi Qaul Hai)

Sharah Mawahib Me Imam Ibne Kasir Se,
ھُوَ الْمَشْھُوْرُ عِنْدَ الْجُمْھُوْرِ
(Tarjma: Jamhur Ke Nazdiq Yahi Mash’hoor Hai)
Isime Hai,
ھُوَ الَّذِیْ عَلَیْہِ الْعَمَلُ
(Tarjma: Yahi Wo Hai Jis Par Amal Hai)

Sharhul Hamziyah Me Hai,
ھُوَ الْمَشْھُوْرُ وَعَلَیْہِ العَمَلُ
(Tarjma: Yahi Mash’hoor Aur Isi Par Amal Hai)
📖 Fatawa Razviya. Jild 26 Safhat 411 Se 412,

Aapne Mulahiza Farmaya Ke Huzur Ki Tarikh e Wiladat Ke Silsile Me Aala Hazrat Ne Saat (7) Qaul Bayan Farmaye
Lekin In Me Se Ash’har (Yani Zyada Mash’hoor) Alsar o Makhuz (Yani Aksar Ka Ikhteyar Kiya Hua) Aur Motabar Qaul Jisko Likha Hai Wo 12 Rabiul’Awwal Hai,

Fatawa Razviya Ke Mandarja Bala Iqtesab Se Ye Bhi Sabit Hua Ke Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Qadri Ke Daur Me (Wahabiyo Ki Hukumat Se Yani 1926.e Se) Pehle Khas Us Makaan Jaha’n Makka e Muazzama Me Nabi e Kareem Ki Wiladat Hui Thi BaQaida Taur Par 12 Rabiul’Awwal Ko Meelad Sharif Ki Majlis Hoti Hai,

Hazrat Shah Waliullah Muhaddis e Dehlvi Ne Bhi Apni Kitab
“Fuyuzul’Harmain” Harmain Sharifain (Makka Muazzama Wa Madina Munawwara)
Ki Majlis o Mahafil e Meelad Sharif Ka Zikr Farmaya Jin Me Unho Ne Khud Shirkat Ki Aur Un Mahafil Me Jin Anwar o Barkaat Ka Unho Ne Mushahida Kiya Wo Bhi Is Kitab Me Bayan Farmaye,

Note: Shah Waliullah Muhaddis e Dehlvi Wo Buzurg Hain Jinhe Deobandi Aur AhleHadis Bhi Apna Peshwa Jante Hain,

Tarikh e Wafat Sharif

Jamhur Yani Aksar Ulma Ne Isi Qaul Par Etmad Kiya Hai Ke Aap Ki Wafat e Aqdas 12 Rabiul’Awwal Hai.
Lekin Aala Hazrat Ke Nazdiq 13 Rabiul’Awwal Hai

Aur Jamhur Ke Qaul 12 Rabiul’Awwal Ki 13 Rabiul’Awwal Ke Sath Yu’n Tatbiq Farmate Hain,

Aur Tehqiq Ye Hai Ke Haqiqatan Bahasb e Ruyat e Makka Muazzama Rabiul’Awwal Sharif Ki 13vi Thi
Madina Taiyyaba Me Ruyat Na Hui (Yani: Chand Nazar Nahi Aaya)
Lehaza Unke Hisab Se 12vi Thehri Wahi Ruwah (Yani: Riwayat Karne Walo’n)
Ne Apne Hisab Ki Bina Par Riwayat Ki
Aur Mash’hoor o Maqbool Jamhur Hui
Ye Hasil Tehqiq Imam Barzi Wa Imam ImadudDeen Bin Kasir
Aur Imam BadrudDeen Jama’ah Wa’Gairuhum Muhaddisin o Muhaqqiqin Hai,
📖 Fatawa Razviya. Jild 26. Safa 417,

Aala Hazrat Ne Is Iqtebas Me
Imam e Barzi. Imam ImadudDeen Bin Kasir Aur Imam BadrudDeen Bin Jama’ah Wa’Gairuhum Ayse Bade Muhaddisin o Muhaqqiqin Ki Tehqiq Ka Hasil Ye Bataya Ke

Makka Muazzama Me Madina Taiyyaba Se Ek Din Pehle Chand Nazar Aa Gaya Tha
Lehaza Makka Muazzama Me Chand Nazar Aane Ke Etbar Se 13 Tarikh Thi
Aur Madina Taiyyaba Me Chunke Ek Din Baad Me Chand Nazar Aaya Is Lehaza Se Raviyo’n Ne Apne Hisab Ki Bina Par 12 Rabiul’Awwal Ki Riwayat Kardi Aur Is Tarah Se Wafat e Aqdas Ki Tarikh 12 Rabiul’Awwal Mash’hoor Ho Gayi
Aur Jamhur Ne In Mash’hoor Riwayat Par Etmad Kar Liya Lekin Haqiqat Me Rabiul’Awwal Sharif Ki 13vi Thi Aur Isi Ke Liye Aala Hazrat Ne Farmaya “Aur Tehqiq Ye Hai”

Aala Hazrat Tehrir Farmate Hain:

Tafseel Wa Maqam Tauzih Muram Ye Hai Ke Wafat e Aqdas Mahe Rabiul’Awwal Sharif Roze 2 Shamba (Peer) Me Waqe Hui Is Qadar Sabit o Mustehkam o Yaqini Hai Jisme Aslan Jae Naza’a  Nahi,
📖 Fatawa Razviya. Jild 26. Safa 418,

Yani Wafat Sharif Rabiul’Awwal Ke Mahine Me Peer Ke Din Is Me Kisi Ko Koi Ikhtelaf Nahi (Yaha’n Tak Ke Deobandi Aur Wahabi Bhi Is Se Muttafiq Hain)

Aage Chal Kar Aala Hazrat Farmate Hain:

Idhar Ye Bila Shubah Sabit Hai Ke Is Rabiul’Awwal Se Pehle Jo Zil’Hijjah Tha Uski Pehli Roz PanjShamba (Jumerat) Thi Ke Hajjatul’Wada  Sharif Bil’ijma Roze Juma (Juma Ke Din) Hai,
📖 Fatawa Razviya. Jild 26. Safa 418,

Yani Jis Rabiul’Awwal Sharif Me Aap -saws Ka Wisal Hua Us Se 3 Mahine Pehle Jo Zil’Hijjah Tha Uski Pehli Tarikh Jumerat Ke Din Thi
Kyun Ke Hajjatul’Wada Sharif Ke Roz e Juma (Jume Ka Din) Hone Par Ijma (Yani Sabka Ittefaq) Hai.
Yani 9 Zil’Hijjah Ko Juma Ka Din Tha Laziman Zil’Hijjah Ki Pehli Tarikh Jumerat Ko Thi.
Is Hisab Se 29 Zil’Hijjah Ko Jumerat Hui.

Aala Hazrat Farmate Hain:

Aur Jab Zil’Hijjah 10.h Ki 29 Roz PanjShamba (Jumerat) Thi
To Rabiul’Awwal 11.h Ki 12 Kisi Tarah Roz e DoShamba (Peer) Nahi Aati..
Ke Agar Zil’Hijjah. Muharram. Safar 3no Mahine 30 Ke Liye Jaye’n To Garrah Rabiul’Awwal Roze ChaharShamba (Budh) Hota Hai
Aur Peer Ki 6ti Aur 13vi. Aur Agar 3no 29 Ke Le’n To Garrah Aur Roze YakShamba (Itwar) Padta Hai Peer Ki 2sri Aur 9vi .
Aur Agar Unme Koi Sa Ek Naqis Aur Baqi 2 Kamil Lijiye To Pehli SehShamba (Mangal) Ki Hoti Hai Aur Peer Ki 7vi Aur 14vi.
Aur Agar Ek Kamil 2 Naqis Maane To Pehli Peer Ki Hoti Hai Phir Peer Ki 8vi Aur 15vi. Garz 12vi Kisi Hisab Se Nahi Aati.
Aur In 4 Ke Siwa 5vi Koi Surat Nahi.

Qaul e Jamhur Par Ye Ashkal Pehle Imam Suhaili Ke Khayal Me Aaya Aur Ise La’hal Samajh Kar Unho Ne Qaul e Yakum Aur Imam Ibne Hajar Asqalani Ne Dom Ki Taraf Udool Farmaya
📖 Fatawa Razviya. Jild 26 Safa 418 Se 419,

Khulasa Ye Hai Ke

2 Baato’n Me Kisi Ka Ikhtelaf Nahi Hai
Pehli Baat Se Ke Wisal Mubarak Se Pehle Jo Zil’Hijjah Tha Uski Pehli Tarikh Jumerat Ke Din Thi Ke Waquf, Arfa (9 Zil’Hijjah) BaRoz Juma Hone Par Sab Muttafiq Hain
Dusri Baat Ye Ke Wafat e Aqdas Rabiul’Awwal Me Peer Ke Din Hui.

To Zil’Hijjah Ki Pehli Tarikh Jumerat Ko Zehn Me Rakhte Hue Hume Ye Hisab Lagana Hoga Ke Aane Wale Rabiul’Awwal Sharif Me Peer Kis Kis Tarikh Me Aaya..

To Agar Zil’Hijjah. Muharram. Safar 3no Mahine 30 Ke Liye Jaye’n To Rabiul’Awwal Ki Pehli Tarikh Budh Ko Hogi Aur Peer Ko 6. 13. 20. Aur 27 Tarikhe’n Hongi

Agar 3no Mahine 29 Ke Liye Jaye’n To Yakum (1) Rabiul’Awwal Itwar Ko Hogi Aur Peer Ke Din 2. 9. 16. 23 (Aur 30 Bhi Mumkin Hai) Tarikhe’n Hongi

Aur Agar 3no Mahino’n Me Se Koi Sa Saal Ek Mahina 29 Ka Aur Baqi 2 Mahine 30 Ke Liye Jaye’n To Rabiul’Awwal Ki Pehli Tarikh Mangal Ki Hogi Aur Peer 7. 14. 21. 28 Ko,

Aur Agar 3no Mahino’n Me Se Koi Sa Bhi Ek 30 Ka Lijiye Aur Baqi Do 29 Ke Samjhe’n To Yakum (1) Rabiul’Awwal Peer Ko Hogi
Aur Is Tarah Peer Ke Din 1. 8. 29 Tarikhe’n Hongi
Yani 4ro Surato’n Me Peer Ke Din Mumkina Tarikhe’n Ye Hui’n
1. 2. 6. 7. 8. 9. 13. 14. 15. 16. 20. 22. 23. 27. 28. 29. Aur 30.

In 4ro Surato’n Me Rabiul’Awwal Ki 12 Tarikh Peer Ke Din Kisi Hisab Se Nahi Aati Aur In 4 Ke Siwa Koi Surat Mumkin Nahi,

In Mumkina Tarikho’n Me Se Yakum (1) Rabiul’Awwal Aur 2 Rabiul’Awwal Ke Aqwal Bhi Milte Hain

Aur Aala Hazrat In 2no Aqwal Ko Ilm e Hayat o Zihat Ke Hisab Se Galat Sabit Karne Ke Baad Farmate Hain.

Wo 2no Qaul (Yakum (1) Aur Dom (2) Rabiul’Awwal Ke) Kat’an Batil Hain Aur Haqq o Swab Wahi Qaul e Jamhur BaMana Mazkur Hai
Yani Waqe Me 13vi Aur BaWajah e Mastur Tabir Me 12vi,
📖 Fatawa Razviya. Jild 26. Safa 426,

Yani Madina Taiyyaba Me Chand Nazar Nahi Aaya To Unke Hisab Se 12 Hui.
Aur Raviyo’n Ne Wahi Mash’hoor Kardi Lekin Chunke Makka Muazzama Me Chand Nazar Aa Gaya Tha
Waqe Me (Yani Tehqiq Me) 13 Rabiul’Awwal,
Aur Haqiqatan 12 Rabiul’Awwal Kisi Hisab Se Nahi Aati.
Jaisa Ke Upar Zikr Hua,

Aala Hazrat Farmate Hain:

Agar Mash’hoor Ka Etbar Karta Hai To Wiladat Sharif Aur Wafat Sharif 2no Ki Tarikh 12 Hai Hume Shariat Ne Nemate Ilahi Ka Charcha Karne Aur Gam Par Sabr Karne Ka Hukm Diya.

Lehaza Is Tarikh Ko Roze Matam e Wafat ( Wafat Ke Matam Ka Din) Na Kiya Roz e Surur e Wiladat e Sharifa (Wiladat Ki Khushi Ka Din) Kiya,
کما فی مجمع البحار الانوار
(Jaisa Ke Majmaul Bhar Al Anwar Me Hai)
📖 Fatawa Razviya. Jild 26. Safa 428,

Mazkura Bala Dalail Se Ye Baat Azhar’MisashShams (Suraj Se Zyada Raushan) Ho Gayi Ke Aap Ka Wisal 12 Rabiul’Awwal Sharif Ko Nahi Hai,

واللہ و رسوله اعلم

Leave a Reply