Bachcho’n Ke Ye Naam Na Rakhe’n
Kuch Log Apne Bachcho’n Ke Naam Rakhne Me Ehteyat Nahi Karte Aur Ayse Naam Rakh Lete Hain Ya To Wo Naam Rakhna Haraam Hota Hai Ya NaJaiz,
Jaisa Ke Baaz Hazraat Apne Bachcho’n Ke Ye Naam Rakhte Hain (1) Nabi Ahmad (2) Ahmad Nabi (3) Nabi Ahmad ﷺ Halanke Ye Naam Sirf Huzur ﷺ Par Hi Sadiq Aate Hain Aur Unhi Ko Zeba Hai Dusre Ko Ye Naam Rakhna Haraam Hai
➡️ Khutba Ke Waqt Durud Sharif Padhna Kaisa Hai?
Sarkar Aala Hazrat Se Isi Tarah Ke Suwalat Kiye Gaye To Aapne Irshad Farmaya Ke
Muhammad Nabi, Nabi Ahmad, Ahmad ﷺ Par BeShumar Durude’n. Ye Alfaz e Karima Huzur ﷺ Par Sadiq Aate Hain Unhi Ko Zeba Hain, Dusre Ke Liye Ye Naam Rakhna Haraam Hai
➡️Bachche Agar Mardo Ki Saf Me Khade Ho’n To Kya Hukm Hai?
Isi Tarah Gafuruddin (GafoorudDeen) Naam Rakhna Bhi Sakht Bura Hai
Kyun Ki Gafoor Ke Maana Mitane Wala, Chhupane Wala Hai
Allah ﷻ GafuruzZunoob Hai Yani Apni Rehmat Se Apne Bando’n Ke Zunoob (Gunah) Mita’ta Hai Uyub (Ayeb) Chhupata Hai,
To GafoorudDeen Ke Maana Hue Deen Ka Mitane Wala Isi Liye Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Ne Is Tarah Ke Naam Rakhne Ko Sakht Mana Farmaya Hai
Bachcho’n Ke Naam Kisi Aalim e Deen Se Puchh Kar Rakhna Chahiye
📖 Ahkame Shariyat, Hissa 1, Safa 430